9 Best Tricks of Android 7.0 Nougat hindi me

Friends pichli post hamne reliance jio me free caller tune kaise activate kare uske bare me jankari prdaan ki thi, aur is bar ham aapko esa hi topic ko lekar hajir huve he. aaj hum aapko 9 best tricks of android 7.0 nougat ke bare me jankari denge. So ummed karte he ki aapko ye post pasand aayegi. Hum aapko android nougat ke bare me kuch jankari uplabdh karana chahte aage aur bhi hum iske bare me information dene wale he.

android-nougat-7-0

Android nougat 7.0 kuch hi vaqt me launch hoga lekin aapko iske liye thoda wait karna padega. ye ek bahut hi badhiya system he jo aapke android ko puri tarah se badal kar rakh dega.  Aaj aap jab bahar ghum rahe hote he to aapne dekha hoga 80% peoples android istemal karte he. Android phone jese ek fashion sa ban gaya he. yaha tak to thik he, lekin kuch log to android phone agar kisi ke pass na ho, to ussey bad-kismati samajhte he. in sab baato ko batane ka matlab ye he ki, aaj android ka istemal kitana badh gaya he, ye aap sab bakhubi jante he.

9 Best Tricks of Android 7.0 Nougat


android-nougat-7-0-tips-tricks

Friends is bar hum aapko android nougat ke bare me bahut hi badhiya tips and tricks share karne wale he jissey aapko kafi achhi jankari milegi. Wese ye jankari launching ke baad bhi aapko bahut kaam aane wali he so is post ko bookmark kar ke rakhe.

Fast multi asking


Faster multi asking ek bahut hi badhiya chij he. Android nougat ke update par bahut hi jaldi se multi asking kiya ja sakta he. aur isko karna bhi bahut easy he. aapko sirf Reset button par dual tap karna he jo navigation bar par diya jata he.

Quick setting se customization


So dosto yaha par me aapko step by step jankari bataunga ki is trick ko kis tarah se istemal kare.

  1. Quick settings ko customize karne ke liye aapko apni finger ko top par touch karna he.

  2. Then uske baad notification ke panel ko dekhne ke liye slide down karni hogi.

  3. Ab aap fir se setting toggle ko dekhane ke liye slide down kar le.

  4. Now quick setting tiles ko dekhne ke liye edit button click kare. Then configure kare and drag and drop kar le. That’s it.


Android nougat 7.0 ke andar multiple window chalaye


Yes aap agar pc istemal karte he to, aapko malum hoga ki aap 2 window ya ussey jyada window open kar Sakte he and both me work bhi kar sakte he. Same esa hi system android nougat 7.0 me hoga. jisme aap do application ek sath chala sakte he and ek ki size kam aur jyada bhi kar sakte he.

Android nougat 7.0 me aap screen slept kar sakte he aur notification bar ko badha sakte he


Jee ha aap jab bhi overview button ko click karenge tab aap multi taking screen ko bhi dekh payenge aur notification bar ko badha sakte he to ye do facilities android nougat 7.0 me uplabdh karayi jayegi.

Notification se hi quick reply karna


Aap abhi chalu version me jo system he usme aap sirf notification hi dekh sakte he, lekin android nougat 7.0 version me aap kisi app me work kar rahe honge and fb me koi aapko message karega to aap notification ke andar se hi turant reply kar payenge. So aap ke important replies aapse nahi chhutenge.

DND service in android nougat 7.0


Jee ha aap sahi sun rahe he. aap isme do not disturb feature ka bhi istemal kar payenge. Uske liye aapko yaha di gayi step by step jankari ko follow karna he.

  1. Setting me jaye.

  2. Sound par click karna he

  3. Do not disturb select karna he. Agar aap apne phone se dur rehna chahte he to wo bhi kar sakte he.


Android nougat 7.0 me font size adjustment


Android nougat 7.0 me aap font size setup kar sakte he. uske liye aapko,

  1. Setting app me jana he.

  2. Uske baad aap select display me jaye.

  3. Finally tap font size par click kar de. Ab aapko jis size ka font chahiye isse istemal kare.


Android nougat 7.0 me font screen adjustment


Yes its true, aap android nougat 7.0 me font screen bhi adjust kar sakte he.

  1. Setting app me jaye.

  2. Upar ki taraf step ko flow kare aap us setting me ja payenge.


Conclusion


To aap logo ne best tricks of android 7.0 nougat ke bare me jankari pratp ki aur aage bhi hum aapko is bare me jankari dete rahenge, lekin sabse pehle aapko comment ke dhvara aapko is jankari ke bare me discussion karna he, and iss post ko aage share bhi karna he. to dosto social media par share karna na bhule. dhanywad.

Post a Comment

0 Comments