Affiliate Marketing se Achhi Income Karne ka Tarika

Friends welcome to the freehindihelp blog. hamne pichhli post me jana tha ki, Image Sell Karke Paise Kaise Kamaye 2016. aur is bar ham janenge ki affiliate marketing se acchi income karne ka tarika. Friends affiliate marketing se adsense se jyada kamayi hoti he ye aap sabhi log jante he. lekin uske liye ek sahi blog ka aayojan karna bhi jaruri he varna earning nahi hoti he. dosto khaskar multi niche blogs par affiliate se paise kamana bahut mushkil hota he. yadi aapke pas niche blog he to aap achhi income karne ke qabil blog bana sakte he.

affiliate marketing

Blog se income prapt karne ka sabse bada strot affiliate marketing he and jyadatar log issey istemal bhi karte he. apne dekha hoga ki jyadatar pro bloggers affiliate marketing ka istemal karte he. Affiliate marketing ke liye niche blogging ki ek badi bhumika he.

Affiliate marketing se achhi income karne ka tarika


affiliate-marketing-se-paise-kamaye

Affiliate marketing ke liye ek sahi niche ka chunav kaise kare?


Affiliate marketing ek bahut hi badhiya tarika he blog ko monetize karne ka. Lekin uske liye ek sahi niche ka chunav karna bhi jaruri he. aap jis topic par blogging karenge us par aap apne affiliate products par sell prapt kar sakte he. Lekin visitors ka flow ek bahut hi important factor he.

Maan lijiye aapne ek seo niche choose kar liya he ab aap usme seo related updates karenge, to jahir si baat he ki seo ke interested users hi aapke website pe visit karte he. aur ese me aap seo related tools ke sells prapt kar sakte he, for example semrush, long tail pro and keyword density tools and link building etc. premium products ke dhvara aap sell prapt kar sakte he. aap chahe to seo eBooks bhi apne user ke liye available kara sakte he.

Yadi aapka blogging niche he to aap domain, hosting and blog website theme se achhi khasi income prapt kar sakte he. to ye sabhi micro niche blogs kahe jate he jo kisi ek hi topic ko exact cover karte he. aur ese blogs me affiliate se high sells milte he aur earning bhi adsense se jyada hoti he.

Fashion and festivals blog par bhi aap Amazon and click bank jaise biggest affiliate ad network ka istemal kar sakte he. yadi aapke pass health niche he tab bhi aap health related products ke upar sells prapt kar sakte he. to in short kehne ka matlab ye he ki koi special topic par blog hona aavshyak he. tabhi aap affiliate se achhi income prapt kar payenge.

Affiliate vs adsense kya he behtar ?


Dosto is bat ka to perfect answer nahi de sakta me lekin kuch muddey jarur pesh kar skata hu.

  • Ebook se Paise Kaise Kamaye | Hindi Me

  • Adsense me aap multiniche blog se lekar hindi language blog me bhi monetize kar skate he. aur indian visitors ko target karke bhi paise kama sakte he.

  • Affiliate marketing me Indian visitors ko target to kar sakte he lekin India me sells milna bahut mushqil he, because India me online payment ka istemal bahut hi kam log karte he.

  • Affiliate marketing me double earning he. aur koi bhi rules nahi he.

  • Adsense me cpc ke aadhar par aapko earning milti he. aur adsense me bahut hi strict rules he, jara si galti hone par aapka account ban hone ka khatra hota he.

  • Affiliate Hindi language blog par istemal nahi kar sakte because India ke log online payment ka istemal kam hi karte he.

  • Adsense ko hindi language blog par apply karke bhi income prapt kar sakte he.


So dosto yaha pe maine kuch baate share ki he ab ye aapko tay karna he, ki aapko konsa chunna he. vese meri mane to adsense aapke liye better he, lekin agar aapke pas koi rasta nahi bachta he to aur bhi bahut se raste khul jate he. so tension lene ki jarurat bilkul bhi nahi he.

You may also like:-


Conclusion


Dosto is post me hamne affiliate marketing se acchi income karne ka tarika jana. Yadi aapko is post ko lekar koi bhi saval he to comment darj kare, aur is post ko social media jaise ki facebook, whatsapp, twitter, instagram, linkedin, pinterest, tumblr, stumble open, digg, reddit, medium and google plus par share jarur kare, dhanywaad.

Post a Comment

0 Comments