Yaha pe aapko kuch aese tarike ke bare me bataya jaa raha hai, jinse aap apne bank account me sidhe paisa prapt kar sakte hai. aapko cash se payment karne ki ya payment prapt karne ki koi jarurat nahi hai.
Cashless Payment Transaction In India
Paytm Se Payment:-
Jab se 500 aur 1000 ke note bandh hue hai tab se chote- chote payment paytm se hone lage hai. aese me sabhi log paytm se payment karne lage hai. Pehle aap apne mobile me paytm apps nahi hai to google play store se download kar lijiye. Paytm app ko use karna bahut aasan hai. aap jitna paisa bhejna aur prapt karna chahte ho wo aapke E-wallet aa jate hai.
aap un paisa ko apne savings bank account me bhi bhej sakte hai, jis se aapko bina cash ke payment karne me koi problem nahi hoti. Paytm me ek E-Wallet bhi hota hai jism aap apne online money ko manage kar sakte hai. Paytm se payment karne ke liye aapke pass debit card ya Atm card hona jaruri hai taki aap apne bank account ko paytm se jod sakte hai.
Paytm Android Apps Install Here
Pehle to aap apni dukan ya store ki diwal pe apne paytm number ka ek QR code ko print karva ke laga dijiye. Aur bas payment karnewala vyakti aapke paytm QR code ko scan karke aapke paytm me paise bhej deta hai. Paytm jaisi bahut si online payment karnewali Application company market me moujud hai.
POS Machine (Card Swipe Machine)
Pehle log online payment ke card swipe machine ka use bahut kam karte the. iska upyog sirf bade bade Malls me hi kiya jata tha. Aur inka use jyadatar bad gaya hai. Is machine ko chote chote vyapari bhi apne bussiness me use kar rahe hai. Ye log isliye ise apna rahe hai ki ab apne desh me sabhi payment aur Transaction Digital tarike se honewala hai. Apne desh ko digital banane ke liye cashless payment karna hoga.
Card swipe machine ek bahut chota machine aata hai. Usme Debit card aur credit card swipe karke apna pin dalkar online payment kiya jata hai. Ye machine Atm machine ki tarah kaam karta hai, aur iski price bahut jyada nahi hai. Agar aap koi mega city ya metro city me rahte honge to aapke liye ye naya nahi hai. kyuki metro city me sabhi jagah ye machine chalta hai. Aapne kabhi bhi credit card dwara ya debit card dwara cashless payment kiya hoga.
Credit Card Aur Dabit Card Se Digital Payment:-
Digital India me digital payment transaction (Online Payment) me credit card aur debit card ka bahut bada support hai. Isse pehle sabhi log debit card ka use sirf Atm machine se paise nikalane ke liye karte the aur sath me recharge karta tha. Aur ab debit card ka use online payment karne me kar rahe hai. Jaise ki Card Swipe Machine aur paytm me iska use badh gaya hai. Ab debit card aur credit card se online bill payment Aur sabhi prakar ka digital payment kiya jaa sakta hai.
To Mitro, Digital india mission ko aage badhane ke liye apne desh ke pradhanmantri ne Cashless Transaction ko bahut mahatav diya hai. hume bhi is mission me unka sath dena chahiye. cashless transaction in india me aap kaise payment kar sakte hai ye aapne sikh liya is post dwara. Aur apne mitro ko bhi ye post jarur share karna. Post ko puri tarah se padhne ke liye aapka dhanyavad. Aapka din shubh rahe.
4 Comments
Girls wanted, no matter where you live! - to hi paid job.
ReplyDeleteIf you are young and daring women between 18-40 years old, you can earn $1000/week, when you get experienced you can make 4 times more.
I won't spam any urls here, if you are interested, you can google it:
Jevlo's jobs modeling
Just want to say your article is as astounding. The clarity in your post
ReplyDeleteis just great and i could assume you are an expert on this subject.
Fine with your permission allow me to grab your feed to keep updated with forthcoming post.
Thanks a million and please carry on the rewarding work.
Hello, yes this paragraph is actually fastidious and I
ReplyDeletehave learned lot of things from it concerning blogging. thanks.
I have checked your blog and i've found some duplicate content, that's why you don't
ReplyDeleterank high in google's search results, but there is a tool that can help
you to create 100% unique articles, search for: Boorfe's tips unlimited content