Christmas Kya Hai Aur Kaise Manate Hai? Hindi Me

Happy Christmas ! Kya aap jante hai ki christmas tyohaar kyu manaya jata hai? aur Christmas kya hai? Aur kaise manaya jata hai. jab bhi ye festival manate hai to sirf 25 december kyu manate hai sabhi log. To chaliye aaj me aap logo ko is article me Christmas ke baare me batata hu. Har saal 25 december ko ye tyohaar manaya jata hai. Christmas ye isai dharm ka mahatvpurna tyohaar hai. Christmas ko india me kyu manaya jata hai?

merry-christmasChristmas Kya Hai?


Aap sabhi jante hoge ki bharat me alag - alag  Dharm ke log rehte hai. Sabhi dharm ke log alag-alag tyohaar dhoomdham se manate hai. Jaise Muslim ka Eid, Hindu dharm ki holi,diwali,durga puja aise bahut sare tyohaar manate hai. Par Christmas ko 25 december hi kyu manate hai? Aakhir aesa kya hai, 25 December ko jise sirf Isai dharm ke log hi manate hai.

Christmas Isaio ka sabse bada tyohaar hai. Puri duniya ke isai is tyohaar ko dhoomdham se manate hai. ye parv bhagvan Isa Masih ke janamdin ke roop me manaya jata hai.

Christmas Kyu Manaya Jata Hai?


Isa Masih Ke Janm ki Gatha:-


Aaj se lagbhag 2000 varsh pehle isa masih ka janm bethelehem me hua tha. Ise Ishwar ka putra mana gaya. Bible ke mutabik mata mariyam ke garbh se isai dharm ke ishwar isa masih ka janm hua tha. isa masih ke janm se pehle mata mariyam kunwari thi. Unki sagaai dahud ke rajvansi name ke vyakti se hui thi. Ek din mariyum ke paas swargdoot aaye aur unhone kaha ki jald hi aapko ek santaan hoga. Jo is susti ko har ek muskeli se bachayega. Mata mariyum ne gabhrate hue kaha ki mai to abhi avivahit hu. Aise me yeh kese sanmbhav hai.

Swargdoot ne kaha ki ye sab ek chamtkar ke madhyam se hoga. Jald hi mata mariyum aur yusuf ki shaadi hui. Shaadi hone ke baad dono yahudiya prant ke bethelehem jagah rahne lage. yaha par ek raat asthbal me isa masih ka janm hua.isaa masih ke janmostav ko hi log aaj bhi Christmas ke roop me manate hai. Unhi ke yaad me har saal 25 december ko Christmas ka tyohaar manaya jata hai. Ab aapko puri tarah samajh aa gaya hoga ki Christmas kyu manate hai.

Isa Masih Ki Logo Ko Sikh:-


Isa masih ne logo ko manavta, prem aur bhaichare ka sandesh diya tha. Wo sab Logo ki bhalai chahte the.Unhone Bhagvan ke paas rehne ka raasta dikhaya hai. Isa masih ne sabko maaf kiya. kai hatyaaro ko bhi maaf kiya tha. Isa masih ki kahi gayi line ' Jo tumhara bura karta hai, uski bhi bhlaai karo. apne dusman se bhi pyaar karo.' Yaha humne jana ki ye sab Isa masih ki sikh thi.

Santa Claus Aur Christmas Ke Baare Me:-


Santa Claus

Cake,Gifts,aapas me logo ka milna jhulna aur Christmas tree sajane ke sath - sath aaj is tyohaar ki pehchan ban chuka hai Santa claus. Santa claus ye ek prakar ka golmatol vyakti tha, jo hamesha lal kapde pehne ke rakhta tha. Wo Christmas ke din chote baccho ko gift dene sleigh par baithkar aata tha.

Aaj ke zamaane me santa claus ke bina Christmas ka tyohaar adhura hai. Santa claus ki bahut si kahaaniya hai. kai log mante hai ki chuthi satabdi me saint nicholas, jo turki ke meera name ke sehar ke bisap the. wahi asli santa the. Saint nicholas garib ko hamesha kuch n kuch gift dete the. Us samay me log santa claus ka bahut sanmaan karte the.

To Dosto, Kya aap Christmas ke baare me kuch jan paye hai ya abhi bhi aapke man me kuch muskeli hai. Agar is article ko padhkar aapke man me koi sawaal aaya hai to sochiye mat niche diye gaye Comment box me comment kare.

Humein khushi hogi ki aap freehindihelp me comment kar rahe hai. Aur ha aapko ye article padhkar kaisa laga ye feedback hume jarur dijiyega. Hum aapke aabhari rahege.

FreeHindiHelp taraf se aapko Christmas Ki bahut bahut shubhkamnaaye... Happy Christmas!

Post a Comment

1 Comments

  1. I have checked your blog and i have found some duplicate content, that's why you don't rank high in google's search results,
    but there is a tool that can help you to create 100% unique content,
    search for: Boorfe's tips unlimited content

    ReplyDelete