Friends mozila firefox aur google chrome duniya ke sabse jyada istemal kiye jane wale browser he. hame ye dono hi browser rakhne padte he because hamara jis tarah ka kaam hota he us tarh ke kaam me ye dono browser hona anivary hota he. mozila firefox free service hone ki vajah se donation offer karta he ki jitane bhi users he who chahe to donation de sakte he. lekin ye recommended nahi hota he. aap issey free me bhi istemal kar sakte he. jab ki chrome ek google ki service he to who totally free he.
Aaj hum ye baat janenge ki mozila fire fox me aur google chrome me new private window chalakar kisi bhi ek se jyada account section ko kaise chala sakte he. ek tarah se ise incognito window bhi kaha jata he. ism eek naya window fresh aur No cache cookie ke sath open hota he. agar aap koi website ko check karna chahte he to bhi ye bahut madadgar sabit ho sakta he.
Ek browser me 2 gmail ya 2 facebook account login kaise kare
Mozila firefox ko mozila foundation (mozila corporation) ke dhvara develop kiya gaya he. issey 2002 me release kiya gaya tha. Aap mozila firefox ko uski official website se download akr sakte he. google chrome ki baat kare to ussey 2008 me launch kiya gaya tha lekin fir aaj ye itana popular ho chuka he mozila firefox se jyada users google chrome istemal karte he. isko Google ke dhvara develop kiya gaya he. google chrome aur mozila firefox mobile ke liye play store par uplabdh he. aur aap dono browser internet par official website se bhi download kar sakte he. waha aapko mac, android, mobile and desktop version prapt ho jayega.
Mozila firefox me new private window kaise chalaye
Friends aayiye ham step by step jante he ki kis tarah se private window open kar sakte he.
- sabse pehle aapko mozila firefox open karna he.
- uske baad ouper sabse top par ek menu bar he usme file select kare.
- File me se new private window option ko choose kare.
- uske baad aap tracking protection enable ya disable bhi kar sakte he.
- yadi aap private window me browsing kar rahe he tab firefox visited page, cookies, searches, temporary files ko save nahi karega.
- firefox aapke dhvara save kiya huva bookmark aur download save kar lega.
(note:- firefox me private window me aap anonymously browse kar rahe he esa na samjhe ye sirf personal private protection ke liye he.)
Google chrome new incognito window kaise chalaye
Dosto hum niche google chrome me private browsing kaise kar sakte he uski jankari step by step share ki he:
- aap ke google chrome me right sidebar me top par ek setting button hoga us par click kare.
- aap chahe to CTRl+SHIFT+N dabakar bhi incognito window ko open kar sakte he.
- yaha bhi incognito window me browsing pages and visted pages save nahi hoge jaise ki browser cookies, search history and history.
- aap ke dhvara ki huvi bookmark aur download items save ho jaeygi.
- aur ha ek bata dhyan rakhiye ki google chrome browser me aap invisible nahi ho jayenge aap jis jagah visit karte he us jagah aapka ip address trace hoga.
So friends is tarah se aap agar new private window(incognito window) ko open karte he to usme bhi aap new account loging kar sakte he. bhale hi who pehle se original browser me login ho lekin private and incognito window me aap ussi account ko login kar skate he ya ek sath do gmail and 2 facebook bhi chala sakte he.
Conclusion
So dosto apane jana ki 2 gmail aur 2 facebook account ek browser me kaise chala sakte he. yadi aapko is jankari ko lekar aur bhi saval he to comment darj kare aur is post ko social media par share karna na bhule. Dhanywad.
1 Comments
Good way of explaining, and nice post to obtain information about my presentation subject
ReplyDeletematter, which i am going to deliver in academy.