Inspect Element ka Istemal Kaise Kare

Dosto pichhli post me hamne jana tha, FAN aur 3 IDIOTS movies se inspiration aur is bar ham aapko batane ja rahe he ki, inspect element ka istemal kaise kare? dar asal inspect element ka istemal crime ke liye hota he. and jyadatar people iska galat istemal karte he. mene dekha hi ki jo log iss trick ko jante he usme se 90% log iska istemal scam karne ke liye karte he.

inspect element

(Note: - this trick is education purpose only.  FreeHindiHelp will not responsible for any suspicious activity.

Nodh:- is trick sirf aur sirf jankari ke khatir share ki gayi he. iska galat istemal hone par freehindihelp bilkul bhi jimmedar nahi he is baat ka khas dhyan rakhe)

Friends isme scam kaise hota he, ye me aapko bataana chahunga. Agar koi online deal karta he to samne wala jab payment karta he, to who aapko jutha screen short banakar bhejta he, ki aapka payment ho chuka he ab hame apna send karo. For example: - yadi aap online exchange kar rahe he, jaise ki, aap perfectmoney to paypal transfer karana chahte he. and koi person se aap payment le rahe he to who aapko jutha screen short provide kar sakta he. yadi aapne galti se bhi us screen short par vishvas karke payment send kar diya to ye aapki sabse badi bhul hogi. so jyadatar online e-currency exchangers hi iska scam karne me istemal kar lete he jisme bhole bhale log fas jate he.

So dosto ese screen shorts par vishvas kabhi bhi na kare. yadi aap facebook istemal karte he and aap kisi ke friend he, and koi aapse jalta he to who aapke friend se chat karke galat screen short banakar aapke friendship ke raste me darar dalne ki koshish bhi kar sakta he.

So dosto aapne jana ki ye kitna hani-karak aur khatarnak he. aapko ye trick batlane ka maxad sirf ek hi he, ki aap bhi ese changul me na fase. Aur is trick ki madad se tarah tarah ke scam hote he. aur aapko ye bhi pata lag jayega iska istemal kis tarah se hota he. so satark rahe, suraxit rahe.

Inspect Element ka istemal kaise kare


Inspect element kya he?


Dosto aap mozila firefox ya google chrome me browse karte ho to aapko malum hoga ki usme inspect element ka option aata he. jiski madad se aap coding ke jariye kisi bhi website ke original text me badlav la sakte he and uska screen short bana sakte he. aur uske jariye victim ko bewakoof bhi bana sakte he.

Inspect element ka istemal karne ke liye guide


Aapko me step by step samjhaunga ki iska istemal kaise karna he. Inspect element ek coding system he jiske jariye aap original text ko edit kar sakte he.

  1. sabse pehle mozila firefox browser open kare.

  2. Ab aap jo word edit karna chahte he, ussey select kare. aur right click kare.


inspect element

  1. Uske bad niche inspect element ka page open hoga usme aap word edit kar sakte he. Word edit karne ke baad enter press kare and aap inspect element ko close karde jissey aapke samne new edited footage visible ho jayega.

  2. Aap ye same trick Google chrome me bhi istemal kar sakte he.


inspect element

So dosto aapko samajh me aa gaya hoga ki issey kis tarah se istemal karna he. dosto iske istemal karne se pehle me aapko batana chahta hu ki iska galat istemal bilkul bhi na kare.

Dosto is trick ka istemal log fake payment screenshot, fake chat proof aur website proof banate he. aur aapko is kaam ko anjam kaise kiya jata he us bare me aapko upar bataya gaya he. aap chahe to iska sahi istemal bhi kar sakte he. is post ko share karne ka matlab ek hi tha ki aap log is jankari se avgat ho jaye. aur alert ho jaye. Kisi ko nuqsan pahuchana hamare hit me nahi he. hamne ye website logo ki help karne ke liye open ki he, naki galat tricks batane ke liye so galat na samjhe and attention ho jaye.

Conclusion


To aap logo ne jana ki inspect element ka istemal kaise kare aur is trick ka istemal karke scammers scam kese karte he us bare me bhi aapne detailed jankari hashil ki. Yadi aapko koi problem he to comment darj karna na bhule. Yadi aap bhi koi esi trick ke bare me jante he to comment me share jarur kare, taki hamare readers uska benefit le sake. Is post ko facebook, whatsapp, twitter, instagram, linkedin, medium, stumble open, tumblr and pinterest par share jarur kare aur dusro tak pahuchaye. dhaywad have a good day. Tata.

Post a Comment

1 Comments

  1. Your post is real very informative. Thanks for sharing this with all bloggers.

    ReplyDelete