Apne Windows XP Ki Speed Kaise Badhaye
Windows xp ki speed badhane ke 6 tarikey
Friends yaha par maine bahut se tarikey share kiye he jinse aap easily windows xp ki speed badha payenge:
- Control panel> administrative tools> services > index service me jaye and start up type me disabled select kare. Uske baad aapki desktop speed immediately badh jayegi.
- Control panel>Mouse me jaye and waha aapko double click speed option dikhayi dega uski limit badhakar full karde dar asal wo speed increase karne ke liye he jo aapke mouse ki double click speed badhata he. aap chahe to pointer option me jakar cursor ki speed badha sakte he.
- My computer>system drive par select kare and sstem drive par right click kare and then properties me jaye uske baad disk cleanup option par click kare then select all files and ok select kare ab aapko confirmation message aayega usme yes select kare. Ye kaam aap daily kare to aur jyada behtar he.
- Yaha pe ek aur kaam he jo aapko dialy karna he. Prefetch, %temp%, recent, Temp in sabhi run me jakar type karna he and ek ke baad ek sabhi file ko delete karna he. ek ke baad ek sabhi words ko type kare and files ko delete kare.
- My computer> system drive me jakar right click kare and tools me jakar defragment now option ko select kare uske baad aap jis drive ko defragment karvana chahte usko select kare and analyze and defragment kare.
- Ctrl+shift+esc keys ko ek sath press kare and tsk manager open kare uske baad aapko extra programs close karne he. yaad rahe aapko sirf apni username ya desktop likhi huvi file ko hi close kare. Jyada jankari ke liye niche diya huva images dekhe.
Other best way to increase computer (desktop) speed
Friends yaha pe aapko me batana chahunga ki apne mother board, cooler fan and other sabhi devices ko every 3 mahine me ek baar aiur brower se saaf jarur kare. Ho sake to 3 month me ek baar rui se petrol dhvara ram ki safayi kare.
Desktop par extra programs na rakhe because issey bhi desktop ki sped kam ho jati he. aap bina kaam ke images videos and extra shortcut desktop par bilkul na rakhe. Jo programs aapko kaam ke he sirf ussi program ko aap desktop pe add kare.
Yadi aap online ya offline work kar rahe he to aapko jo programs aam ka nahi he use minimize kar dena chahiye. Jis program me aap kaam kar rahe he sirf aur sirf usi program ko open rakhe dusre programs ko minimize karle ya to fir close kar de.
Simple wallpapers ka istemal kare kyuki simple desktop wallpaper se aapki windows xp ki speed kafi had tak badh jayegi. Me aapko yahi suggestion dunga ki wallpaper ka istemal na karte huve aap sirf black background ka istemal kare.
Yadi aapke pass 2 GB se kam Ram he to aapki speed 100% kam hi hogi. Always 2 gb ya ussey jyada ki RAM hi istemal kare aap chahe to extra 1 GB ram dusre slot me enter kar sakte he. aur achhi system achha processor bhi ek bahut badi chij he aapko iska bhi dhyan rakhna he.
Sahi Antivirus ka istemal karna jaruri he. yadi aap internet regular use karte he and other memory cards ya pen drive apne system me enter karte he to jahir si baat he ki speed kam hona possible he to so dosto ache anti virus ka pryog kare.
So dosto in sabhi tariko se aap apne desktop ki speed badha sakte he. yadi aapka computer ya latop lagatar hang ho raha he to iska matlab ye he ki aapne upar di huvi jankari ko follow nahi kiya he.
Conclusion
To dosto aapne jana ki, Windows XP ki speed kaise badhaye? Yadi aap ke man me is jankari ko lekar koi saval he to comment darj kjarur kare aur is article ko social media par share kare. Dhaywaad.
1 Comments
This condition is very limited to the reproductive system and could have several causes for example a result of injury or abnormal blood circulation inside the testicles. Thus, if your muscles inside penile area are relaxed, more blood will go into the penis and a harder erection will occur.
ReplyDeletehttp://www.generiqueviagrafr.fr/viagra-a-montreal