Biggest Blog ka Blog Management Kaise Kare 2017

Dear friends welcome to the freehindihelp blog. Aaj hum janenge ki, biggest Blog ka blog management kaise kare 2017. Dosto sabse pehle ye baat ki biggest blog kisse kehte he. friends agar aapke blog me 400 se 500 acchi post mojud he to ese blog ko hum big blog keh sakte he. jisme management karna bhi mushqil hota he. yaha par mene interlink ka step bhi cover kiya he jissey aapko kafi had tak help mil jayegi. Khas kar yadi aap new blogger he to aapko ye post ko detail me janna bahut jaruri he because future me aapko bahut jarurat padne wali he.

blog management

Biggest Blog ka blog management kaise kare 2017


purane articles ko update kare


yes purane articles ko update karna bahut hi beneficial sabit huva he. ab aap log bhi jante he ki vaqt ke sath sath sabhi chije badlti rehti he to aapke purane articles me aapne purani information di huvi thi who information ki koi value nahi rehti he, to esi post ko new jankari ke sath update karna jaruri he. aap usme images bhi add kar sakte he. and kuch naye keyword bhi jarur enter kare aur us post ki date change karke bilkul hi naye tarike se publish kare. Is tarah se aapka jo purana article rank huva tha who aur bhi jyada ranking paa lega.

Jahir si baat he ki yadi aap 400 se 500 posts apne blog me kar dete he uske baad aapke pass daily post karne ke liye koi topics bahut hi kam hote he ha yadi aap multi niche ko cover kar rahe he tab to aapke pass unlimited topic honge lekin yaha special niche ki baat ho rahi he. maan lijiye aapke pass technology niche ka blog he lekin technology niche me daily bahut si post ko aap cover kar sakte he, lekin agar aap technology ka sub niche software ya android he, tab aapke liye ye mushqil ho jata he 400-500 posts ke baad regularly jyada post karte rehna ese me aapko updating karke bhi apne blog regular rakh sakte he.

Dusri baat ye ki aapke purane article update karke aap bahut si traffic laa sakte he. iska reason bahut se he. purana article bahut baar social media pe share ho chuka hota he and uske keywords bhi already ranked huve hote he. to friends ese me aap usko update karenge to sone pe suhaga hoga.. lekin koi bhi activity jyada karne se uska nuqsaan aapko bhugatana pad sakta he updating tab kare jab aapke pass koi topic na ho. And vese bhi yadi aapke pas topic he tab bhi aap ek week me ek post ko update jarur kare.

Strong Interlinking kare


interllnking-old-article-update-kaise-kare

Interlinking ke bare me aap bahut baar sun chuke he and padh chuke he. interlinking who hota he jiske dhvara aap related article ko link kar sakte he aur uske fayde bhi bahut he. yadi aap new post me purane post ka link dalte he to google jab aapke page ko index karega to usme jitane bhi links he un sabhi ko crawl bhi karega. Yaha par maine kuch benefits bataye huve he jo aapke kaam  aa sakte he.

  • Bounce rate to aap jante hi he. Bounce rate kam karne ke lye interlink karna recommended he. bounce rate yani traffic bounce hona.;.koi visitor aapki post ko upar se dekh kar blog ko chhod deta he aur iska badhava hona vakayi me serious matter he. yadi aap issey bachna chahte he to interlink karna bahut jaruri he. jissey who aapke blog ke sath lambe samay tak juda rahega aur aapke blog ko jaldi chhodega nahi.

  • Interlinking karne se aapke purane pages bhi recrawl hote he jinse aapke purane post bhi aur jyada rank karte he.

  • Purane post ko edit karke ussey related new posts ke link add karna jaruri he. purane post ko listed karne ke liye anchor text ka istemal jarur kare.


Apni old posts ko jab bhi edit kare tab usme interlinking karna bilkul bhi na bhule. But remember jesa ki maine pehle bataya koi bhi chij jyada karne se nuqsan bhugatana pad sakta he. aapko is bat ka khas khayal rakhana he. jyada jankari daily hashil karne ke liye hamara blog subscribe jarur kare. Jissey aapko daily mail delivery prapt hogi. Aur apako sari new updates and post apne email par mil jayegi.

Conclusion


So friends aapne jana ki, biggest Blog ka blog management kaise kare 2017. Yadi aap iske bare me jyada jankari hashil karna chahte he to comment ke jariye hamse question puch kar discussion kar sakte he is jankari ko jyada se jyada social media par share kare taki other user bhi uska benefit praapt kar paye. Dhanywaad.

Post a Comment

3 Comments

  1. tips dene ke liye bahut bahut dhanyvaad

    ReplyDelete
  2. Hi, i see you don't monetize your page, probably you don't get enough traffic,
    but there is very good method to bring massive traffic to your content and earn a
    lot of money from adsense, just search in google for; Masitsu's tricks

    ReplyDelete