Indian Paypal Account se Fund Transfer And Shopping Kaise Kare

Friends freehindihelp me aapka dil se svagat he. dosto aap log jante he ki paypal ar jagah online istemal hota he and Indian people jo online business se jude huve ho unhe paypal account rakhna hi padta he. hamare kayi mitr online investment karte he lekin paypal me Indian debit card acecept nahi hota aur Indian paypal account me se aap paise send nahi kar sakte he sirf receive kar sakte he to in sabhi problems ka solutions ka nichod aapko Indian paypal account se fund transfer and shopping kaise kare post me diya gaya he. issey pehle aap hamari pichhli post Keyword Research Karne ke 5 Badhiya Tarikey- bhi jarur padhe.

indian paypal

Indian paypal account se fund transfer and shopping kaise kare


Indian paypal kis bank ke debit card accept karta he


Dosto hum yahape batayenge ki kin kin banks ke debit card paypal accept karta he.lekin sab epehle aap ko ye dhyan rakhana he ki aapka card visa ka hona chahiye otherwise master card. Aur in dono cards ko paypal me apply karne se pehle ek baar customer care me call karke international transaction limit aapko increase karvani he otherwise card accept nahi hoga.

  • Axis bank visa debit:- axis bank ka visa debit card aap paypal me apply kar sakte he. paypal axis bank ka debit card accept karti he and aap chahe to credit card bhi add kar sakte he. aapko visa debit card hi istemal karna he.

  • Kotak Mahindra bank visa debit:- yes kotak Mahindra bank ka debit card bhi acceptable he magar aapko kotak mahinda ka visa card hi apply karna he apply karna he uske liye aapko bank team se contact karna he jissey who visa debit provide karneg. Kayi mamlo me esa hota he ki debit card ka form bharkar de dete he to visa ki bajay another company ka debit card aapko mil jayega so apply karne se pehle bank ke adhikari ke sath contact karle.

  • Icici bank visa debit :- icici sabse mhngi bank he india ki kayi jagah aapko only saving bank account open karane ke liye 10,000 deposit karani padti he. lekin icici bank ka visa debit card icici accept karta he.

  • Citi bank visa debit :- citi bank ka debit card bhi paypal accept karta he.

  • Bank of Baroda visa debit:- bank of baroda ka visa debit bhi accept ho jata he but kabhi kabhad work nahi karta he. lekin fir bhi aap try jarur kar sakte he.


Dosto koi bhi card apply karne se pehle uska payee name and address match hona jaruri he. sabse jaruri baat ye ki apply karnse pehle international transaction limit badha deni chahiye jissey easily above listed bank me se kisis ek bank ke card ko approval mil jayega. Card add karne ke baad do dino ek chhoti deposit aapke khate me aayegi aapko statement nikalna he and waha transaction description me jo code diya gaya he ussey paypal me enter karna he jissey aapka paypal account verify ho jayega.

paypal-indian-bank-debit-cards

Entropay virtual card ke dhvara paypal se money transfer kaise kare


Entropay ek bahut hi behtarin service he jo ki visa virtual card provide karti he iss virtual card se aap shopping bhi kar skate he and fund transfer bhi kar sakte he and paypal ke liye bahut hi behtarin he. entropay me aapko sabs pehle account banana he uske baad 20$ deposit add karni he. aap wire transfer and debit card se bhi deposit kar sakte he.

Deposit karne ke baad aapko 1 year ke liye ek card milega usme aapko apna name enter karna he uske bad aapko pin and card number vagerah mil jayega. Ab aapko ye card paypal me add karna he then 1-2 din me paypal aapke virtual card me se deposit cut hogi uske baad aapko refund kar diya jayega. Aapki virtual card description me ek pin hoga jissey aapko paypal me enter karna he uske baad aapka account verify ho jayega.

Conclusion


Friends ye thi Indian paypal account se fund transfer and shopping kaise kare ke bare me jankari yadi aapko koi bhi question he is bare me to aap be jhijhak comment kar sakte he. yadi aapko esi hi aur jankariya padhana chahte he to hamari previous posts jarur padhe. Hamne aur bhi kayi is tarah ki jankariya uplabdh karayi he jissey aapko fayda hoga. is post ko social media par jyada se jyada share kare. Dhanywaad and good bye.

 

Post a Comment

1 Comments

  1. @FreeHindiHelp

    Great article buddy !

    Why you so many use Tags !!

    ReplyDelete