Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan Vyapari Yojana Ke Baare Me Jankari

Cashless digital payment ko badhava dene ke liye Goverment Of India ne ek yojana lunch ki hai. Kya aap harroj inaam jeetna chahte hai. Kya aap bhi Lucky Customer Scheme me bhag lena chahte hai. Yaha aapko sabhi information hindi me di gayi hai. Lucky grahak yojana aur digi dhan vyapari yojana kya hai uske baare me bataya gaya hai. Aur aap kaise daily gift paa sakte hai. Iske liye kya karna hoga aur konsi application download karni padegi ye mai aapko is post me bataunga.

Lucky Grahak

Digi Dhan Aur Lucky Grahak Yojana Ke Baare Me:-


Desh me jyada se jyada Cashless transaction ko badhava dene ke liye Bharat sarkar ne do badi yojanaye shuru ki hai.

1. Lucky grahak yojana aur.
2. Digi Dhan Vyapari Yojana.

Lucky grahak yojana chote chote transaction karnewale logo ke liye hai. Aur Dusri Digi dhan vyapari yojana bussiness aur trading karnewale logo ke liye hai. Aap ye dono yojana se 1000 se 1 crore tak ke prize jeet sakte hai. Sarkar ki or se nirdhaarit char tariko me se kisi ek tarike se digital payment karke aap in inaamo ke hakdar ban sakte hai. Iske liye 25 december 2016 se last date 14 april 2017 tak daily aap prize jeet sakte hai. Daily lucky draw me 15000 Winner select kiye jate hai.

lucky-grahak-yojana-aur-digi-dhan-vyapari-yojana-ke-baare-me-jankari

Lucky customer scheme ki shuruaat ki gayi hai usko hum Bharat sarkar ki Kaun Banega Crorepati yojana bhi keh sakte hai. 14 April 2017 ke aakhri din sarkar ki taraf se bumper inaam hoga. Yani lucky grahak ko 10000000 sidhe apne account me transfer ho jaynge. dusre aur teesre lucky grahak ko 50 lakh aur 25 lakh inaam diya jayega.

India ka koi bhi vyakti is lucky draw me shamil ho sakta hai. Iske liye aapko acche tarike se payment karna hai. Result aaye tab aapka name bhi aa sakta hai. Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan Vyapari Yojana koi baat samjh nahi aayi to hume jarur bataye. Is post ko jyada se jyada share kare taki apne friend ko bhi iske baare me pata chale.

Lucky Grahak Yojana Me Milnewale Prize :-


Lucky grahak yojana me aap alag-alag tariko se inaam ke hakdar ban sakte hai. Is scheme me har din, har hafte aur ant me ek mega lucky draw hoga. Date 8-12-2016 se 13-4-2017 tak aapne kiye hue online transaction ko dhyan me liya jayega.

Per Day Lucky Draw :-


Har roj 15000 logo ko is yojana ke inaam ke liye select kiya jayega.
Har ek winner ko milega 1000 rupees.
100 din tak sabhi ko prize diya jayega.
15 lakh logo ko iska labh milega.
150,000,000 crore rupees ka kharch hoga.

Weekly lucky draw :-


Is weekly Prize yojana me Per week 7000 logo ko Inaam diya jata hai.
1st winner ko 1 lakh Rs milte hai.
2nd winner ko Rs 10000 milenge.
3rd winner ko Rs 5000 diye jayenge.

Mega Inaam Draw :-


Date 14-4-2017 ke din Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan Vyapari Yojana Ke liye Mega prize draw kiya jayega.
Date 8-12-2016 se 13-4-2017 tak aapne kiye hue online transaction ko dhyan me liya jayega. Isme aapko 3 inaam rakhe hai.

1st Inaam jeetne wale ko ek crore rupees milenge.
2nd inaam jeetne wale ko 50 lakh rupees.
3rd Inaam jeetne wale ko 25 lakh rupees.

Kis Category ke Transaction ko Kitna Prize :-


Jo log Rupay Card use karte hai un logo ko jyada fayda hoga. Rupay card use karnewale log ko hi jyada matra me select kiya jayega.
Rupay card use karnewale 11,900 logo ko mega inaam milega.
UPI istemaal karnewale 1500 winner ko select karenge.
AEPS se online transaction karne ke liye daily 1500 winners ko inaam diya jata hai.
USSD *99# istemaal karnewale me se 100 winner ko mega prize milega.

Kis Tarah Ke Payments Karne Se Inaam Milega :-


UPI - Unifield Payment Interface:-


Bahut se log online transaction UPI system se karte hai. Ye online payment karne ka sabse achha tarika hai. Sarkari aur private bank ne apne UPI App develop kiya hai. Example BHIM,SBI PAY, PNB UPI,HDFC UPI,ICICI UPI App etc. In sabhi apps ko aap google play store se download kar sakte hai. Is app ke jariye ki gayi transaction  Lucky grahak yojana aur Digi dhan ke liye valid mana jayega.

USSD *99# Banking :-


Yeh system uske liye banaya jiske paas android mobile nahi hota, aur lucky grahak yojana me bhag lena chahte hai. ye service me aap simple phone se SMS ke jariye transaction kar sakte hai.

AEPS - Aadhar enabled payment system :-


Aap sabko pata hoga ki sabhi bank ke grahak ke aadhar card number bank account ke sath link kiya hai. Ab aap apne aadhar card number se online payment kar sakte hai. Aap is service ka labh uthane ke liye kisi bhi net, mobile ya signture ki jarurat nahi padegi. Micro ATM me aapke aadhar number aur figerprint ki madad se aap payment kar sakte hai.

Rupay Card :-


Bharat me jan dhan yojana ke Account wale customer ko Rupay card diye gaye hai. ATM CARD - DEBIT CARD ki tarah hi ye card use kiya jata hai. Rupay card se kiya gaye payment se aapko is yojana ka labh mil sakta hai.

Note:-  Aapko yaha pe ye dhyan rakhna hai ki Digital wallet se ki gayi payment is yojana ke liye manya nahi hai. Paytm, Mobikwik, Freecharge jaise wallet se ki gayi payment is yojana me shamil nahi hogi. Agar aap UPI system se payment karte hai to aap inaam ke hakdar ban sakte hai. Iske alawa aap Visa, master card se payment karte hai to aapko is yojana ka labh nahi milega.

Lucky Grahak yojana aur Digi dhan yojana me participate kaise kare?


1. Yaha pe bataye gaye tarike se aapko payment karni hai.
2. Market me jakar koi cheez kharide aur uska payment Rupay card se kare.
3. Rs.3000 tak ka bhugtan manya kiya gya hai.
4. Rs.3000 se jyada kharidna pade to 2 bar payment kare.
5. Sabhi bank ke UPI app ka use kare.
6. Agar aap internet ke bina online payment karna chahte hai to BHIM App aur *99# system se payment kare.
7. Micro ATM se bhugtan kare.

Aap Is Yojana ke Winner bane hai ya nahi janiye


Goverment ne Lucky grahak yojana ke liye ek special apni Website banayi hai. digidhanlucky.mygov.in Yahi site pe aapka name declared hoga ki aap winner ho ya nahi. Aap winner hote hai to seedhe aapke bank account me paisa transfer ho jata hai.

Lucky Draw Ke Vijeta:-


Sabse pehle Lucky draw ki website open kare. (digidhanlucky.mygov.in)
Website open hone ke baad aapko do options milege, Customer aur Merchant Button.
Agar aap Grahak hai to customer button pe click kare aur vyapari hai to Merchant pe click kare.
Ab aapka bank account se register mobile number add kare.
Ab aapko OTP se sms milega usko OTP box me add kare.
Aur uske baad YOUR LUCK pe click kare. aap vijeta hai ya nahi ye bataya jayega.
Aapne kis tarah ka transaction kiya hai wo bataye.
Transaction type, Transaction ID, Transaction Date enter karke submit kare.
Ab aapka name winner list me hai ya nahi wo batayega.

To Dosto Sabhi Ke liye ye achha mauka hai Crorepati banne ka. Is post ke baare koi question hai to aap hume jarur comment karke bata sakte hai.

Post a Comment

0 Comments