Also Read :- Cashless Digital Payment Transaction In India – Hindi Me
Aap offline Aadhar card ko apne bank account se jod sakte hai. Aadhar card ko bank se jodne se aapko double fayda milta hai. Pehla faydaa ye ki aapke bank account se link ho jayega aur dusra fayda ye ki use aap online payment karne me bhi use kar sakte hai. Jaise ki paytm,mobikwik,phonepe,trutpay,vodafone m-paisa, sabhi bank ki apps etc use karne ke liye aadhar card ko bank jodna chahiye. To chaliye jante hai ki kaise hum offline ya online tariko se apne aadhar card ko bank se jod sakte hai.
Aadhar Card Ko Bank Account Se Kaise Jode (Offline Method)
Mai aapko jo method batane jaa raha hu ye method sabhi jagah bank me aapko kam aayegi. Aap ise hdfc,sbi,axis,pnb etc sabhi bank me use kar sakte hai. Is method ko aap badi aasani se use kar sakte hai, aur ye method 100% work karegi. Aapko apna original aadhar card aur uski photocopy lekar apne bank tak jana hai. Jis bank me aapka account available hai.
Ab kisi bhi accountants se puchkar aadhar card linking form lena hai. Ab aap aadhar card linking wala form ke sath photocopy bhi de de. Bank accountants aapke pas original aadhar card dekhna chahta hai to aap usay bata de. Bus aapko yahi method use karni hai. Aap 5-6 hours wait kare, jab aapka aadhar card bank se jud jayega tab aapke mobile me sms aa jayega. Ye thi aadhar card ko bank se offline jodne ki puri process jo koi bhi badi aasani se ise follow kar sakta hai.
Aadhar Card Ko Bank Se Online Kaise Link Kare:-
Aadhar card ko online apne bank account se jodne ke liye aapko apne bank ka net banking open karna hoga. Agar aapne net banking ki service pehle se hi chalu kar rakhi hai to aap badi aasani se aadhar card ko bank account se jod sakte hai. Iske liye method ko follow kijiye.
1. Pehle to apne bank ka Net banking login kare.
2. Uske baad update aadhar card ya link aadhar card ya to phir aadhar card seeding options pe click kijiye. Ye options aapke bank pe depend karta hai.
3. Form open hone ke baad sabhi blank jagah pe aadhar ki puri details bhar de. Sabhi information check karke hi fill kare aur uske baad form ko submit kar de.
4. Bank aapki puri details ko check karke aapka aadhar card update karegi. Aadhar card update hone ke baad bank aapko Email ya register mobile number ke jariye sms bhej ke batayegi ki aapka aadhar update ho gaya hai.
ATM Ke Jariye Bank Account Me Aadhar Kaise Link Kare:-
Atm machine se apne aadhar card ko bank se badi aasani se jod sakte hai. Aapko mai batata hu ki ATM se kaise aadhar card ko bank se jodte hai.
Note:- Ye method sirf SBI bank ke ATM me hi kam lagegi, kyuki ye option baki ke ATM me nahi hogi.
1. Apne area ke kisi najdiki SBI ATM me jaye aur apna atm dal ke apna pin enter kare.
2. Aapke samne menu open hoga, isme registrations pe click kare.
3. Ab aap aadhar registration pe click kare.
4. Ab account me (Savings/Checking) ko pasand kare.
5. Yaha pe apna aadhar card number dale aur confirmation ke liye phir se number enter kare.
6. Ab aapka Aadhar card number bank se link ho jayega aur aapke mobile pe registration ka SMS bheja jayega.
Aadhar Card Ko Bank Account Se Juda Hai Ya Nahi Kaise Check Kare:-
Mai aapko jo method batane jaa raha hu is method se aapko pata chal jayega ki aapka aadhar card bank se link hai ya nahi. Is method ko aap follow kare.
1. Apne mobile me *99*99# number likh ke dial kare.
2. Uske baad aapke mobile pe aadhar linking ka option aayega usay select kare.
3. Iske baad aapke aadhar card ka 12 digit ka number dale, usay confirm karne ke liye 1 press kare.
4. Agar aapka aadhar card bank se juda hai to aapko us bank name batayega.
Also Read :- Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan Vyapari Yojana Ke Baare Me Jankari
To Mitro, Aapko Aadhar Card Ko Bank Account Se Kaise Jode iske baare puri information di. Ye post aapko kaisi lagi ye hume comment karke jarur bataye. Is post se related koi bhi question hai to aap hume jarur puch sakte hai. Is post social media pe apne dosto ke saath jarur share karna. Dhnyawad!
4 Comments
useful information about Adharcard. thanks for sharing
ReplyDeleteI see you don't monetize your blog, don't waste your traffic, you can earn extra
ReplyDeletecash every month because you've got high quality content.
If you want to know how to make extra bucks, search for:
Boorfe's tips best adsense alternative
I think your website needs some fresh posts. Writing manually takes
ReplyDeletea lot of time, but there is tool for this time consuming task, search for: Boorfe's tips
unlimited content
I have noticed you don't monetize your blog, don't
ReplyDeletewaste your traffic, you can earn extra cash every month because you've got hi quality content.
If you want to know how to make extra $$$, search for: Boorfe's
tips best adsense alternative