Credit Card Aur Debit Card Kya Hai | Janiye Aapke Liye Konsa Behtar Hai

Hello Dosto, FreeHindihelp blog me aapka swagat hai.Aap humari pichhli post Holi Dhuleti Wish Quotes, Shayari SMS Aur Whatsapp FB Status 2017 ko jarur padhe. Credit card aur debit card ka naam to aapne kai bar suna hoga. Ye dono kya hai? or in dono me kya difference hai,shayad aap nahi jante honge.

Debit card aur Credit card ka use jyadatar cash nikalne ke liye aur shopping ke liye kiya jata hai. Bank me account open karne ke baad in sabhi card ke bare me janna bahut jaruri hai. Badlte digital zamane me aapko credit card aur debit card ki jarurat jyada pad sakti hai. Aaj hum is post me aapko Credit Card Aur Debit Card Kya Hai, aur aapke liye konsa jaruri hai iske bare me charcha karenge.

Also Read :- Visa Card Aur Rupay Debit Card Kya Hai Aur Konsa Behtar Hai

Bahut sare aaj kal online shopping,online payment ke liye credit card,debit card ka use karte hai. Bank ya bank ke ATM se paise nikalna to aap jante honge ki ATM card ya debit card se nikalte hai, lekin credit card se nahi. ye dono ka kam alag-alag hota hai. Agar aap in dono ko compare karenge to aapko puri tarah samjh me aa jayega. Ye sab aapko mai aage bataunga. Sabse pehle to ye jan le ki Credit card aur debit card kya hai.

Credit Card Aur Debit Card Kya Hai

Credit/Debit Card Kya Hai|What Is Credit Card And Debit Card


Credit card business

Credit Card:-


Is card ki madad se hume ek achhi service milti hai. how to use a credit card machine ,offers,meaning,credit card business,ye sab question log google me search karte hai. Kyuki ye sabhi logo ko credit card ke baare me jyada samjh nahi hoti. Is card ki madad se aap apne bank account me jama paisa se jyada paisa use kar sakte hai, aur uske baad aapko bank ko fix time me vyaj ke saath paisa vapas karne padte hai.

Jarurat padne pe jaruriat puri ho jati hai, Lekin credit card se saving kar pana muskil hai. Ye card aapko financial institute ya bank se prapt hota hai. Credit card use hum online payment, fund transfer, aur online shopping karne ke liye kar sakte hai.Credit card aur debit card dono me ye fark hota hai ki agar aapke bank account me paisa na ho to bhi aap online shopping kar sakte hai. Is card ki kuch limit hoti hai jo aapke bank balance ya income pe depend karta hai. credit card limit se jyada aap shopping ya payment nahi kar sakte hai.

credit card apply karne ke liye aapko bank me form bharna padta hai. Aap national or International credit card payment se shopping kar sakte hai. credit card charges fees bahut jyada hoti hai, lekin isse faida bahut hota hai. credit cards online karke aap koi bhi saman ko month ya years ke liye purchase kar sakte hai. apply credit card online instant approval karne ke liye aapko apna ID Proof dena hoga. Iska mai aapko example deta hu jo dhyan se read kare.

Credit Card Use Example:-


Agar aap 8000rs ki LCD kharina chahte hai, aur hume pura payment nahi karna hai to aap credit card ki madad se payment kar sakte hai. Iske liye aapko EMI service choose karni padegi yani ki aapko payment har month kisto me deni padegi. Isse ek prakar ki hume loan bhi milti hai.

Debit Card :-


Aapko pata hoga ki ATM card ek tarah ka Debit card hota hai. Iske jariye hum online bank transaction kar sakte hai, aur atm se paisa bhi nikal sakte hai. How to use a debit card online iske bare me aapko mai puri tarah samjata hu. Debit card prepaid sim ke tarah hota hai.Agar aapke sim me balance hoga to aap call kar sakte hai thik usi tarah aapke bank account me paisa hoga to aap nikal sakte hai.

Technology badhne se hume bahut faida hua hai ki pehle paisa bank me lene jana padta lekin ab hum najdiki koi bhi ATM machine se paisa nikal sakte hai. Online kharid ne se lekar online kisi bhi tarah ka payment kiya jaa sakta hai. ATM aur debit card ke bahut se prakar hote hai jaise ki Master card,Maestro card,Rupay card aur Visa card. Ye sab card ki facility me difference hota hai. Debit card fees bhi bahut kam hai.

Credit Card Aur Debit Card Me Kya Difference Hai|Credit Vs Debit Cards Which Is Better?


Debit card ek type ka prepaid card hai aur credit card post paid card jaisa hai.

Atm card ki madad se aap online shopping aur Atm se paisa nikal sakte hai, Aur Credit card se online shopping or EMI ke dwara aap paisa nikal sakte hai.

Debit card normal ek Atm card hota hai jo bank ke normally customer ko mil jata hai. Credit card lene ke liye aapko apply karna padta hai.

Debit card se aap EMI service ka labh nahi paa sakte aur credit card ki madad se aap EMI kar sakte hai lekin isme limit hoti hai.

Also Read:- Indian Paypal Account se Fund Transfer And Shopping Kaise Kare

Last Word:-


To Dosto, Aapne jana ki Credit Card Aur Debit Card Kya Hai,Janiye Aapke Liye Konsa Behtar Hai. Par agar aap savings ke liye debit card ATM ka use kar sakte hai jisse aap jarurat padne pe jitna paisa nikalna chahte hai utne nikal sakte hai. Credit card me hum bank account ke paise se jyada use karte hai to wo udhar karte hai iska hume interest dena padta hai. Jo koi bhi vyakti nahi chahta. Isliye hum aapko kahenge ki credit card ka use jarurat padne par hi kare.

Mai ummeed karta hu ki aapko ye article samaj me aaya hoga kyu ki Credit card aur debit card ke bare me aapko bataya. Hume comment karke jarur bataye ki ye post aapko kaisi lagi. Is post ke bare me aapka koi sawal hai to aap comment karke jarur puch sakte hai. Is article ko social site pe jarur share kare.

 

Post a Comment

1 Comments

  1. हमेशा की तरह एक और बेहतरीन लेख ..... ऐसे ही लिखते रहिये और मार्गदर्शन करते रहिये ..... शेयर करने के लिए बहुत-बहुत धन्यवाद। :) :)

    ReplyDelete