Height Badhane Ke Liye Best Exercise (Best Kasrat)

Hello Dosto, Aap sabhi kaise hai. Freehindihelp site pe aap sabka swagat hai. Achhi personality ke liye body ka kad lamba aur fit hona chahiye. Harek person ki life me uski height jyada role nibhati hai. Height person ki genetics par bhi depend karti hai. Aaj ke fast yug me bahut se aese medicines or acupressure treatments available hai jo aapki height badhane ka dava karte hai. But sath hi sath ye expensive bhi hote hai or lekin isme side effect ka bhi khatra rehta hai. Ladka ho ya ladki jinki height kam hoti hai, wo dusro ko dekhkar sharmindagi mehsoos karte hai.

Also Read:- Yatra Ke Samay Pe Ulti Rokne Ka Jane Upay – In Hindi

Chahe koi bhi field ho Police, modeling, Force sabhi me height ka hona bahut jaruri hai. Aamtour pe mana jata hai ki height 18 years tak hi badhti hai. Ye mother ya apne father ki height anusar badhti hai. Apne body ki height badhane me growth hormone ka bahut bada hath hai. Lekin exercise karne  or ucchit roop se comida lene se aap apni height me sudhar laa sakte hai. To chaliye dosto aaj mai aapko Height Badhane Ke Liye Best Exercise ke baare me batata hu.

Height Badhane Ke Liye Best Exercise

Height Badhane Ke Liye Best Exercise:-


Height increase Ke Liye Exercise Fast Trick

1. Super Stretch:-


Super Stretch exercise karte waqt pehle aap sidhe khade ho jaye. Apne hatho ki ungli ek dusre me fasa le, ab apne dono hath ko apne head se upar le jaye or uske baad apni adi ko thoda uper uthaye aur is position me 10 se 12 second tak hold rahe ye exercise 3 se 6 bar kare.

2. Back stretch:-


Yeh exercise apni height badhane ke liye bahut jaruri hai. Ye exercise karne ke baad aapko thoda pains lagta hai. Sabse pehle apne sarir ke bal let jaye or uske baad apne palma ko chati ki side me rakhte hue uper uthane ki koshish kare. Is position me
4 se 11 second tak hold rakhe, aur uske baad 10 second rest kare uske baad dubara se yahi exercise 3 se 4 bar kare.

3. Super Cobra stretch:-


Super Cobra stretch exercise me aapko sabse pehle push up lagane wali position aur uske baad castle ko uthate hue uper le jaye is position me 10 se 12 second tak hold rakhe. Is exercise ko 4 se 6 bar kare.

4. Sitting Hamstring Stretch:-


Ye exercise thodi hard exercise hai. Is exercise ko aap baar baar kar rahe hai to shayad sahi tarike se kar payenge. Sabse se pehle apne dono leg aage karke bath jaye, apne hath se apne panjo ko pakad le or apni kamar ko aage ki taraf karte hue apne Forehead ko knee se attach karne ki koshish kare. Is exercise ko 3 se 4 baar kare, aur jitna ho sake utna last position ko hold rakhne ki koshis kare.

5. Wall Strerch:-


Is exercise ko karne ke liye diwar ke samne khade ho jaye or apne hands ko high reach karne ka try kare. Aise kartw waqt aap apne tiptoes ko paa sakte hai. Aisa karne se aapki spine wall ki tarah flat ho jayegi. Iski 4-6 times tak repetition jaruri hai. Ye exercise karne me thodi hard hai lekin spine wall ke against flat hota hai.

Ye sabhi exercise subah ya sham kisi bhi time pe kar sakte hai. Lekin kisi bhi exercise karte waqt aapka pet khali hona chahiye. Agar aapne khana khaa liya hai to aap 5-6 gante baad is exercise ko kare. Is exercise ke alawa bahut si exercise hai jo aap karke apni height increase kar sakte hai. Jaise ki Skipping rope jumping, swimming, hanging, pull up, cycling, yoga ye sab kare.

Also Read:- Android Mobile Se Deleted Data Recover Kaise Kare

Last Word:-


To Dosto, Humari ye post Height Badhane Ke Liye Best Exercise kaisi lagi aapko ye hume comment karke jarur bataye. Agar aapko batayi gai lambai badhane ki exercise se related koi bhi question hai to aap comment ke jariye puch sakte hai. Aapko ye post achhi lage to apne dosto ke sath social site pe share jarur kare, taki aapke friends ko bhi kuch help ho sake.

 

Post a Comment

2 Comments

  1. I see you don't monetize your blog, don't waste your traffic, you
    can earn extra cash every month because you've got high quality
    content. If you want to know how to make extra bucks, search for:
    Boorfe's tips best adsense alternative

    ReplyDelete
  2. Bahut hi achi exercise likhi hain. aapne height badhane ki.Thanks for sharing.

    ReplyDelete