Smartphone Sensor Kya Hai?
Android mobile me sensor feature ke tarah kam karta hai. Ek sensor me ek alag hardware & program hota hai, aur naye mobile naya feature add hota hai. chalo ab ham Smartphone ke sabhi sensor ke baare me jante hai.
Android Mobile sensor list:-
Accelerometer Sensor :-
Accelerometer Sensor hume sabhi android mobile me dekhne ko milta hai. Lekin aap jante hai ki ye Accelerometer Sensor kya hai, ye sensor aapke mobile ke motion ki jankari software tak pahuchata hai aur batata hai ki aapne mobile kaise pakda hua hai. Horizontally pakda hai ya phir vertically pakda hua hai.
Usi hisaab se aapke mobile ki screen rotate hoti hai. Aapne har mobile auto rotate ka option dekha hoga. Ye function Accelerometer sensor ki madad se work karta hai. Accelerometer Sensor se aap apne smartphone ki screen ko 90 degree tak rotate kar sakte ho.
Gyroscope Sensor:-
Gyroscope Sensor Accelerometer Sensor ki tarah hi work karta hai, ye uska advanced version hai. Gyroscope Sensor se aapke mobile me sahi information milti hai apne mobile phone ko kis angel se pakda hai aur kitni degree pe pakda hua hai. ye sensor camera ke panorama mode me photo capture kar sakte hai.
ye sensor 360 degree pe video dekhne ke liye bhi use hota hai. ye sensor games me bhi use hota hai, jiski help se aap game ka control kar sakte hai. Aapne kai games me dekha hoga ki apne mobile ko left,right,up,down karne se game controlling kar sakte hai, ye sab Gyroscope Sensor se hota hai.
Magnetometer Sensor:-
Bahot sare smartphone me aapne ye Magnetometer Sensor ka name suna hoga. Ye sensor North, east, west, South etc. Disha ko detect karne ke liye hota hai. ye sensor aapke mobile me compass ka kaam karta hai. Ye sensor ki help se aap google maps me coorrect location aur Indicator dekh sakte hai. jisse direction ka pura gyan ho jata hai. Aur isse direction bilkul correct aati hai jo ki travelling purpose se bahut accha hai. Is sensor ke bina aap apne mobile me location nahi dekh payenge.
Proximity sensor:-
Proximity sensor smartphone ko smart banata hai. Ye sensor se aapke mobile ke screen ke aaspas honewale movement pe nazar rakhta hai, aur uski duri ka antar mapta hai. Ye sensor ye batata hai ki aap mobile screen ke kitne nazdik hai. aapne kai bar dekha hoga ki aap jab bhi apne mobile pe baat karte hai tab aapke mobile ki screen off ho jati hai, ye sab Proximity sensor se hota hai.
Ye sensor front camera ke uper ke taraf hota hai. Jab aapke hath me mobile hota hai tab aap mobile ko hilate hai to screen on ho jati hai. aur aap iski help se call receive kar sakte hai. Aapne dekha hoga ki kai smartphone me raise to ear ka option aata hai, iski help se aap incoming call mobile ko ear ke najdik lakar receive kar sakte hai. Call ko mute bhi kar sakte hai, e sab proximity sensor ki madad se hota hai.
Ambient Light Sensors:-
Ambient Light Sensors aapke mobile ki display brightness ko auto control karta hai. ye sensor aesa hai ki aap daylight me ho to mobile ke brightness ko high kar dega, aur aap night me ho to display ki brightness ko low kar dega. jiski madad se aapko mobile display me read karne me badi aasani hogi. Iska matlab ye hota hai ki ye sensor aapki jarur ke mutabik auto display brightness ko change karta rehta hai. Isse aapke mobile ki battery life badh jati hai.
Barometer Sensor:-
Barometer Sensor aapki body ke health ki information deta hai. ye sensor se aapke body ke moment ki jankari store karta hai aur baad me aapko batata hai. aapne pure din me kitni energy waste ki ya aapne kitne chadhai ki mountain par aur bhi jankari deta hai. Ye sensor 2 kaam karta hai. Agar aapke mobile me barometer Sensor hai to aap uski help se GPS me accurate location paa sakte hai. ye thi barometer Sensor baat.
Thermometer Sensor:-
Thermometer Sensor apne mobile me temperature mapne ka kaam karta hai. Thermometer Sensor ye mobile ke internal temperature ko chek karta hai. jaise ki processor ka temperature , battery ka temperature aur body ka temperature pata karke usko control karta hai, mobile me external thermometer sensor bhi diya jata hai.
Air Humidity sensor:-
Humidity sensor ka matlab ye hota hai ki apne aaspas ke environment me kitni matra me pani hai iska pata chal jata hai. ye sensor aapke place ki weather information batata hai, aur khrab weather hota hai to ye aapko alert kar deta hai ki aap kai safe jagah pe chale jao. Is tarah ye sensor mousam kharab honewala ho to pehle se hi apne mobile ki notification me bata deta hai.
Heart Rate Sensor:-
Heart Rate Sensor ye kya hota hai. Heart Rate Sensor bahut kam android mobile me dekhne ko milta hai. Heart Rate Sensor ke naam se hi aap samajh jayenge ki iska kaam kya hai. Heart Rate Sensor ka work ye hai ki smartphone me heart ka rate ko count karta hai. Samsung S-5 aur Mi band me ye sensor mojud hai.
Pedometer Sensor:-
Ye sensor accelerometer sensor ka advanced version hai. iska kaam ye hai ki aapke foot step ko accurate tarike se count karna. ye sensor bahut kam android mobile me dikhne ko milta hai. ye sensor jyada hume fitness band me dikhne ko milta hai. aapke android mobile me Pedometer Sensor laga hua hai to aap ek din me kitne kadam chale wo jan sakte hai.
Fingerprint sensor:-
Is sensor ka name to aap logo ne kai baar suna hoga, kyuki ye sensor bahut popular hai.Fingerprint sensor ki help se aap apne smartphone me apni ungli se unlock kar sakte hai. Is sensor ki madad se hum apne phone ki security badha sakte hai. Fingerprint sensor ek aisa security sensor hai jo aapki finger se mobile ko unlock karta hai aur bahut sare feature bhi iske jariye secure kiye jaa sakte hai.
Aapko baar baar password lagane se bhi chutkara mil jata hai. Is sensor ki madad se aap play store se download kiye hue security software me bhi use kar sakte hai. Is tarah Fingerprint sensor Android smartphone ki security ke liye bahut hi useful sabit ho raha hai.
To Dosto, Ye thi Android Mobile Ke All Sensor Ki Puri Jankari jo aapko jarur pasand aayi hogi. Humesha aesi jankari pane ke liye aur bhi humari post ko padhe, Or apne dosto ke sath share or Subcribe jarur kare. Dosto aapko is post ke related koi bhi question hai to niche diye gaye comment box me comment jarur kare. Thank you.
Keep Visiting - Be Happy.
0 Comments