Stock Free Images and Icons Kaise Prapt Kare

Dosto pichhli post me hamne jana tha, Affiliate Marketing se Achhi Income Karne ka Tarika aur is bar hum batayenge ki, stock free images and icons kaise prapt kare. friends aap apni pots me bahut se images istemal karte he lekin kya aapne kabhi ye socha ki stock free images kya he ? yadi aap ek blogger he to uske bare me jarur jante honge. friends images bahut jaruri hote he because ek images padhne wale ke dimag par ek achhi chhavi chhodta he. padhne wala better tarike se samajh bhi jata he so image ek bahut hi achhi chij he.

stock-free-images-icons-kaise-prapt-kare

Images uthakar direct post me add kar dena bhi sahi nahi hota he. isliye ussey ek baar edit jarur kar dena chahiye. edit karne ke liye adobe photoshop sab se uttam sadhan he. yadi aap achhe se post editing kar sakte ho, to aap internet par bahut se icons and images download karke usko edit karke legally and commercially istemal kar sakte ho. Jesa ki aap bakhubi jante he ki ek image 2000 words ke barabar hota he. so kehne ka matlab ye he ki har ek image bahut jaruri hota he.

Recommended : -

Stock free images and icons kaise prapt kare


commerical-free-images-prapt-karne-ki-best-websites

Pixabay.com


Pixabay ek bahut hi behtarin and most popular website he jaha par duniya ke bahut se photographers free photos provide karte he. pixabay HD image ke liye jana jata he. taduprant, aap yaha par kisi bhi category ke images search kar sakte he. pixabay ka istemal freehindihelp bhi karta he. pixabay commercial free high definition images ke vajah se ye world famous he.

Iconarchive.com


Icon archive bhi ek bahut hi behtarin websites he jaha par aap professional icons download kar sakte he. Icons download karne se pehle aapko kayi baato ka dhyan rakhna he. jinme se ek ye ki download karne se pehle aap sabse pehle license filter commercial free image select jarur karle. Jissey sabhi icons free hi show honge, aur ek baat ye ki icon download karne se pehle ye bhi dekhle ki image owner ne koi backlink to nahi provide kiya he. yadi image owner backlink provide karta he to ese icons ko download na kariye.

Shutterstock.com


Shutter stock bhi free images pane ki sabse badi websites he. yaha par free and paid images uplabdha karaye jate he. yadi aap apne photo ke jariye paise kamana chahte he tab bhi shutterstock aapke liye bahut hi umada platform he. shutter stock me bahut se images free available he. jisse aap download kar skate he lekin download karne se pehle license check jarur kar le. Commercial free images hi aap apne blog ke liye istemal kar sakte he.

Google.com


Yes it is right Google bhi stock free photos provide karta he. aapko google image advance search me jana he and vaha license filter me jakar fee to use and modified even commercially select karna he. jissey aap google par free images browse kar sakte he, and koi image pasand aane par ussey apne system me save bhi kar sakte he.

Flickr.com


Flickr par bhi bahut se free images available hote he, jissey aap free me istemal kar skate he. Free images browse karne ke liye aapko commercial free feature choose karna he, jaha aap free images access kar payenge and download bhi kar payenge.

You may also like : -

So dosto ye thi stock free hd images ke bare me jankari aur free images prpat karne ke liye websites ki list bhi dekhi. Agar aap ese hi hamari other posts padhana chahte he to is blog ko subscribe jarur kare, jissey every new post and updates aapko apne mail box me hi mil jayegi.

Conclusion


Dosto aapne jana ki, stock free images and icons kaise prapt kare.  icons ke liye iconarchive and stock free images ke liye maine dusri bhi best sites mention ki he, jaha se aap images download kar ke ussey modify and edit bhi kar sakte he and ussey apne blog ke liye legally istemal bhi kar sakte he. so dosto agar koi saval he to comment darj jarur kare. aur us article ko social media par jyada se jyada share kare taki other bloggers and online workers bhi in stock free photos ki mahiti se avgat and mahitgar ban jaye. Dhanywad.

Post a Comment

2 Comments

  1. "Wonderful work! This is the kind of information that are meant to be shared around the internet. Disgrace on Google for now not positioning this put up higher! Come on over and seek advice from my website . Thank you =)"

    ReplyDelete
  2. I see you don't monetize your website, don't waste your traffic,
    you can earn additional cash every month because you've got high quality content.
    If you want to know how to make extra money, search for: Mertiso's tips best adsense alternative

    ReplyDelete