Basic Seo ke bare puri jankari Hindi me 2017

Friends pichli post me hamne Happy New Year 2017 wishes Quotes, SMS and Messages to all Readers ke bare me post share ki thi aur ummed karte he who aapko pasand aayi hogi. aur is bar ham Basic seo ke bare me puri jankari hindi me janne wale he. so dosto is post ko achhe se samjhne ke liye aapko dhyan dena anivarya he. yadi aap post dhyan se nahi padhte he to fir aapke problems ka solution nahi milega, so aap hamari har ek post ko dhyan se padhe.

basic-seo-ke-bare-me-jankari

Friends seo ka full form hota he search engine optimization. Ek tarah se ye hamare content ka promotion he. seo ke jariye ham hajaro ya lakho visits hamare content par la sakte he. lekin agar seo ka sahi se istemal nahi kiya gaya to, hame kuch hi visitors me santusth hona padega. so friends seo ko sikhne se pehle aapko basic seo ki jankari hashil karna bahut jaruri he.

Basic Seo ke bare puri jankari Hindi me 2017


untbasic-seo-ke-bare-me-jankari

Backlinks


Backlinks ke bare me janna aapke liye behad jaruri he because agar aap link building nahi karenge to aapka blog rank me kabhi nahi aayega. kyuki aaj ke daur me competition bahut jyada he. ek hi topic par sekado articles mil jayenge aapko. Backlinks yani aapka blog url kisi other blog ya website pe hona. backlinks do tarah ke hote he do follow and no follow

Dofollow backlinks search ranking ke liye achhe hote he, because usme link juice pass hota he. jo high ranking ke liye fayda karak hota he. no follow links link juice pass nahi karte he lekin da, pa and other tactics ko increase karne ke liye behtar he. no follow links link variation ki penalty nahi lagne dete to ye bhi bahut important he.

Black hat seo


Black hat seo kala hota he. Spamming ya link buy karke traffic lane ki koshish ki jati he ussey black hat seo ke name se jana jata he. Black hat seo website ya blog ke liye bahut hanikarak hote he. so issey istemal nahi karna chahiye. black hat seo se aap long term project kabhi bhi nahi run kar sakte he. so issey avoid kare aur isseey bache.

Keyword stuffing, over optimization and link spamming bhi ek tarah ka black hat seo hi he.

White hat seo


Ham apne content ko publish karne ke liye social media par share karte he and other related blog par comment karte he, guest post likhte he and forum posting karte he who sabhi white hat seo ke division me aata he. Natural post write karna over optimization na karnal ye bhi white hat seo he.

On page optimization


On page optimization yani aap post likhte vaqt jo optimization karte he, who sabhi on page optimization mana jata he. Keyword target, keyword ko highlight karna, pichhli related post add karna , H1 h2 hedings add karna, search description add karna and permalink add karna bhi on page optimization section me ata he.

Off page optimization


Off page optimization yani post likhne ke baad, jo hum post ko promote karte he, backlinks banate he ussey off page optimization ke name se jana jata he. on page optimization ke jitna hi off page optimization jaruri hota he. yadi aap ye nahi karte he to aapka blogging adhura he.

Anchor text


Anchor text ka me aapko example dekar samjhana chahunga. Man lijiye ki aap post likh rahe he to aap post likhte samay pichhli post ko link karte he to pichhli post ka main keyword enter karke usme link dalte he, to ese links ko anchor text kaha jata he. ye bahut hi beneficial hote he.

Headings


h1, h2 and h3 ye sabhi headings ke prkar he. aapke content ko divide karne ke liye iska istemal kiya jata he aur ye search engine ko bhi content ko saaf tarike se samjhne me help karta he to ye bhi bahut hi jaruri chij he.

Keyword density


Keyword density yani aapne jo keyword target kiya he who kitana istemal kiya he uski jankari. Keyword density percentage me gini jati he. agar aap apne keyword ko 100 word ki post me 1% istemal karte he to who aapki keyword density he.

Conclusion


So dosto aapne Basic Seo ke bare puri jankari Hindi me 2017

Ko puri tarah se padha aur ummed karte he ki ye post aapko pasand aayi hogi. agar koi saval he to comment darj kare aur is post ko jyada se jyada social media par share kare. dhanywad.

Post a Comment

1 Comments

  1. bahut hi badhiya post ki gay he. jyadatar naye bloggers ko basic seo ke bare me jarur jankari hashil karni chahiye. aap chahe to meri post paise kaise kamaye padhna pasand kar skate he

    ReplyDelete