* Internet Ke Bina Paytm se paisa Transfer:-
Paytm ne internet connection ke bina paise bhejne aur prapt karne aur phone recharge karne ke liye ek tollfree number 180018001234 ki ghosna ki hai. iski wajah se lakho smartphone users ko paise ki cashless len den karne me bahut bada faida hoga. Is service ka upyog karne ke liye Grahko aur vyapario ko unke mobile number ko paytm par register karna hoga aur unka 4 digit ka code paytm pin set karna hoga. ve praptkarta ka mobile number, rashee aur unke paytm pin darj karke unke paytm wallet se anya paytm wallet me paise ka len den kar sakege.
Abhi desh me 10 lakh se adhik vyapari offline payment mode ke roop me paytm ko swikar kar hai. Paytm ko taxi, auto rikhshaw,petrol pump, kirane ki dukan, resturant, multiplex aur bhi kai jagah par swikar kiya jata hai. Paytm ko recharge, movie tickets aur khana order jaisi service ke liye istemaal kiya jata hai.
Paytm ke neta Nitin mishra ne kaha ki hum digital vyavahar me adhik se adhik bharatio ko sakriy karne ke liye pratibadh hai. Aur humara naya toll free number(180018001234) is disha me ek mahatvpurna kadam hai. yeh pure bharat me gair smartphone users ko bhi cashless bana sakega. To Dosto, Is tarah sabhi payment mode me paytm wallet bahut kaam aata hai. Ab aapko samajh aa gaya hoga ki bina internet ke paytm se paisa kaise transfer kare.
By the way, aapko yaha batayi hui information me kuch problem ho ya phir kuch samajh me n aaya ho to humein jarur comment box me comment kare. Agar aapko ye post pasand aaye to ise social media pe share jarur kare taki aapki wajah se kisi or ko bhi is jankari ke bare me pata chale.
4 Comments
nice post u have shared. i need css code of yor blog.. can u please provide me??
ReplyDeleteyes
ReplyDeletefb req send.. https://www.facebook.com/mahesh2450
ReplyDeleteAap ne bahut badiya jankari di he , aap ki post bahut muje pasand aaya.
ReplyDelete