Blogger me Domain Without www Kese Redirect Kare

Namaskar dosto! Mera name Imran mansuri he aur Me Paise Kaise Kamaye blog ka Founder hu. Aur aaj Free hindi help blog pe me meri first guest post he. aur me ye asha karta hu ki aapko ye post pasand aayegi. Ye post khas taur se naye blogges ke liye prastut ho rahi he. is post me hamne . Blogger me domain without www kese redirect kare topic ko savara he. hamare India newbie jo blogging ki duniya me kadam rakh rahe he. un logo ke liye issey janna behad jaruri he. kyuki jab aap domain lete he aur ussey domain ke sath connect karte he to aapne ye problem face ki hogi ki www lagaye bina jab bhi aap domain enter karenge who directly domain provider company ki official website pe redirect ho jata hoga.

domain-rediraction-process

To isi problem ka solution aapko is post me diya gaya he. asha karte he ki aapko ye post bahut pasand aayegi. Kabhi kabhi hota ye he ki, aap bhale hi blogger me se redirection set karlo fir bhi ye problem aapko face hoti he to is problem ka bhi solution yah ape diya gaya he. to aayiye is post ko shuru karte he.

Blogger me domain without www kese redirect kare


Blogspot ko domain ke sath connect karne ke baad ki setting instruction


Yaha par settings ki jankari ek ke baad ek samjhayi gayi he jissey aapko achhi tarah se samajh aa jayega.

Step 1- yadi domain connect karne ke baad bhi without www open nahi ho raha he to niche di gay instruction ko follow kare.

Step 2- now aap apna domain provider ka account open kare. aur apne domain me jaye. Aur manage dns pe click kare. Jyada jankari ke liye niche screen short dekhe.

Domain Without www Kese Redirect Kare

Step 3- Abhi aap add record pe click kare aur niche di gayi information enter kare.

Domain Without www Kese Redirect Kare

 

Add record me jaye aur:-

  1. Record type A host select kare



  1. Host me @



  1. points to me 216.239.32.21



  1. TTL me default rehne de


 

Dusri bar Add another pe click kare aur:-

  1. Record type A host select kare



  1. Host me @



  1. points to me 216.239.34.21



  1. TTL me default rehne de


Teesari bar Add another pe click kare aur:-

  1. Record type A host select kare



  1. Host me @



  1. points to me 216.239.36.21



  1. TTL me default rehne de


Affiliate Marketing se Achhi Income Karne ka Tarika

Chothi bar bar Add another pe click kare aur:-

  1. Record type A host select kare



  1. Host me @



  1. points to me 216.239.38.21



  1. TTL me default rehne de


Pachvi bar aapko add another nahi karna he balki finish pe click karna he.

Domain Without www Kese Redirect Kare

Step 4- now aap apne blogger account me jaye aur vaha basic me se blog address me redirect yourdomain.com to www.yourdomain.com select kar de jo niche screen short me dikhaya gaya he.

Domain Without www Kese Redirect Kare

Now aap umse instant badlav dekh payenge. Apna domain without www open karke dekhiye ye 100% work karega.

Top aapne jana ki domain www ke bina redirect kaise kare. asha karte he ki aapko ye information umada aur uttam lagi hogi. agar aapka javab ha he to hamare blog ko bhi visit jarur kijiye. Aur aap Money making related sabhi ides and trending jankari prapt kar skate he. blog ka link pehli pankti me diya gaya he. aabhar.

Post a Comment

0 Comments