Youtube Subscriber Aur Earning Badhane ka Tarika

Dosto freehindihelp me aapka svagat he. hamne pichhli post me jana tha ki, Bitcoin Kya He Aur Bitcoin ka Istemal Kaise Kiya Jata He. aur is bar ham janenge ki, youtube subscriber aur earning badhane ka tarika. Dosto youtube duniya ki sabse badi video site he, jissey Google handle karta he. youtube me aap kaise bhi video search kar ke usko online play kar skate he. and ab to youtube new offline feature bhi activate kar diya he. jissey aap ussey bina download kiye, aur bina internet ek video ko baar baar play kar sakte he.

youtube subscriber

Is tarah ki facility ek bahut hi achhi facility he. but youtube jin se chalta he who he youtube me video publish karne wale Vloggers. Vloggers na ho to youtube ki koi kimat nahi he. aur ek baat ye bhi he ki youtube he to vloggers he. aur aaj ki hamari ye post khaskar vloggers ke liye ki gayi he. ummed karte he ki aapko iske jariye kafi sari jankari janne ko milegi. To aayiye shuru karte he.

Youtube subscriber aur earning badhane ka tarika


youtube-subscriber-badhane-ka-tarika

Kisi ek topic par focus karna


Friends youtube pe subscriber nahi mil rahe he uske bahut se karan hote he. khas tor se new vloggers bahut galtiyaan kar dete he. agar aap sahi tarike se vlogging nahi karoge, to earning and subscriber milna possible nahi he. aapne ye bhi dekha hoga ki, kayi vloggers 700$ monthly kama lete he. kya itani jyada earning possible he? ha bilkul. lekin who tab jab aap planning ke sath vlogging kar rahe ho tab. Aaj kal vloggers youtube me bhi festivals and event try kar ke achhhe views and income prapt kar lete he. lekin ek thos topic hona bahut jaruri hota he. because issi se aapki pehchan hoti he.

Yaha par me baat kar raha hu ek topic par focus karne ki. yadi aapki ek channel he and aap usme har category ke videos share kar rahe he, to aapke liye ek problem jarur hogi ki koi bhi person aapki channel ko subscribe nahi karega because aapne multi topic chuna huva he. Subscriber ke flow ko badhane ke liye aapko kisi ek topic ko chunna hoga, jissey sirf ussise related persons aapki channel ko subscribe karenge. Exact subjects ke upar video milenge to har koi aapki channel ko samjhega ki ye is topic ke liye he aur aapke subscriber jarur badhenge

Agar aap ek se jyada topic cover karna chahte he to aap ussi account me dusari channel bhi bana sakte he. jaise ki health topic ke liye alag channel and technology topic ke liye alag channel.

Regular video sharing se views and earning badhaye


Pyare mitro regularity ek bahut hi important factor he. regular video share karte he to aapke subscriber jarur badhenge. And regular video posting se aapke subscriber daily aapki channel ko visit karenge. Regular video share karne se youtube search se bhi aapko traffic jyada milegi. aur video ki sankhya badhne ke karan earning bhi badhegi.

Simple si baat he ki, jyada jankari share karne wale ko log jyada pasand karte he and iss hisab se aapko fayda jarur hoga. Regular video sharing ka matlab ye bhi nahi he ki aap daily video share kare aap chahe to 2 din me ek baar ya fir  ek week me ek baar exact samay me posting kar sakte he.

To dosto aapne in tareeko ke bare me padha uske liye aapka khub abhar vyakt karna chahta hu. In tips ko aap ek baar try kijiye and kuch samay ke liye amal jarur kijiye. Aasha karte he ki aapke subscriber, video views and earning bhi jarur badhegi. Is blog ko email se subscribe kijiye aur sabhi post apne email par payiye.

Conclusion


So pyare dosto ye tha, youtube subscriber aur earning badhane ka tarika aur jankar. Agar aap iske bare me kuch puchna chahte he to aap apni comment rakh sakte he. is post ko jyada se jyada social media par share jarur kare. aap facebook, twitter, whatsapp, linkedin, pinterest, stumble open, medium, digg, reddit, tumblr, instagram and google plus ka istemal kar sakte he. dhanywad. Aur free hindi help se jude rahe.

Post a Comment

0 Comments