BHIM App Kya Hai Aur Kis Tarah Ise Use Kare - In Hindi

Hello Dosto, Digital payment ko aage badhane ke liye apne desh ke PM Narendra Modi ne UPI system BHIM application ko lunch kiya hai. Aaj mai aapko BHIM application ke baare me is post me bataunga. Is apps ko aap internet ke bina use kar sakte hai. BHIM App me register kaise kare (How to use BHIM app). BHIM app me bank account kaise jode? ye sabhi sawal ka mai aapko jawab deta hu. Ye application ko india online money transfer aur money receive karne ke liye lunch kiya hai. Aap is cashless transaction app download karke apna account banakar use kar sakte hai.

bhim-app-kya-hai-aur-kis-tarah-ise-use-kare-in-hindi

Is app ki madad se paisa transfer, online payment ye sabhi work internet active na hone par bhi aap kar sakte hai. Ye apps se aapko paisa transfer karne ke liye koi bank account ya bank IFSC Code ki jarurat nahi hogi. Is app ko National Payments Corporation Of India (NPIC) ne banaya hai.

BHIM App Ke Baare Me Puri Jankari Hindi Me


bhim-app-ke-baare-me

BHIM App ka Full form hai "Bharat Interface For Money". Ye app UPI payment system pe work karta hai. Digital payment aur cashless transaction ke liye humara goverment ye app ko market me laya hai. Aap internet ke bina apne ghar baithe bank ka kaam is app ki madad se kar sakte hai. BHIM App ko aap apne Aadhaar card se jod dijiye, kyuki ye app aapko cashless transactions me bahut madad karega.

How To BHIM App Install


BHIM App ek android application hai. aap ise download karne ke liye google play store me jake kar sakte hai. Agar aapko direct download karna hai to download link yaha pe click kijiye. Is app ko 1 million se jyada logo ne play store se download kiya hai.

BHIM App Install Link :-

Bhim App Ko Use Kaise Kare?


bhim-app-ko-use

Online banking karne ke liye aapko BHIM app download karke install kar leni chahiye. Uske baad aap is app me registration kar lijiye. To aayiye jante hai ki BHIM app ko kaise use karte hai.

1. Bhim app download and install

2. Bank account register

3. Verify your mobile number

4. UPI Pin setup

5. Add to payment address

6. Done BHIM app register

BHIM App Ko Activate Kaise Kare?


Sabse pehle application ko open kare aur uske baad Language select kare. Ab Next button pe click kijiye.
Welcome ka message aayega aur uske baad 2 bar next options pe click kijiye.
Ab lets get started ka button dikhai dega us pe click kare.
Ab mobile number verification ke liye kaha jayega.
Next button pe click kare.

Isme dhyan ye rakhna hai ki apne bank account me jo mobile number register hai wo hi number is app me use kare. Ye app kai mobile me abhi work nahi karti. Aapke register number me balance hona jaruri hai. Kyuki aapke mobile se BHIM app register karte waqt message janewala hai.

Ab aapke mobile number se ek sms bheja jayega. Aapka mobile number register ho jayega. Bad me aap apna UPI PIN set up kare. Ye sab karne ke baad aapka BHIM app active ho jayega.

BHIM App Ka Istemaal - Bhim App Features Hindi


=> Internet ke bina work karega ye app.
=> Bank IFSC code ki jarurat nahi.
=> UPI based payment system hai.
=> English aur hindi do language me use.
=> QR code scan karke paisa transfer.
=> Bhim app ko apne bank account se link kare.
=> Ek hi baar apna bank account number add karna hai,
uske baad aap apne mobile number se paise transfer kar sakte hai.
=> Every day aap 20,000 tak rupees transfer kar sakte hai.
=> Apna bank balance check kar sakte hai.
=> USSD code *99# ko connect kare bina aap BHIM app se internet
paise transfer kar sakte hai.

BHIM App Se Paisa Kaise Transfer Kare ?


Application open karke PIN dale.

Agar aapko paisa transfer karna hai to
Send Money pe click kijiye.

Jisko paisa bhejna hai uska mobile number ya aadhaar card number
ya phir payment address add karna hai.

Ab Amount add kijiye.

Aap jaise hi amount add karoge to aapko waha pe joint account number
show hoga.

Send money pe click karke aap paise transfer kar sakte hai.

Conclusion :-


To Dosto, Ab aap sabko pata chal gaya hoga ki BHIM App Kya Hai Aur Kis Tarah ise Use Kare. Isme account kaise banaye. aap internet ke bina is app ko use kar sakte hai. BHIM App activate kare. Is app ki madad se aap badi aasani se paisa transfer kar sakte hai. IS post ko share karne ke liye aap facebook, whatsapp, twitter, instagram, linkedin, pinterest, tumblr, stumble open, medium, digg, Reddit and google plus ka istemal kar sakte he. dhanywaad aur Freehindihelp blog ko visit karte rahe aur nayi jankari prapt karte rahe. Good bye.

Save

Post a Comment

4 Comments

  1. waw.. kya baat hai. aapne bhim app launch hone ke baad hi ye post daal di. bahut badhiya isse bahut logo ko bhi app ke baare me janne ko milega. kisi nayi chij ke baare me information hamesha maayne rakhti hai.

    ReplyDelete
  2. Thank You Surendra Mahara.. Keep it visit..

    ReplyDelete
  3. Bahut hi upyogi jankari, yeh App mene download kar liya hai.....bahut kaam ka hai......

    ReplyDelete