Aur Rupay Debit Card me difference kya hota hai. Pehle to hum ye jante hai ki Visa Card Aur Rupay Debit Card Kya Hai?
Rupay card aur Visa debit card kya hai ?
Sabhi Bank ke paas alag- alag prakar ke card kaise available hote hai. Aapko mai batata hu ki ye sabhi ATM card pe jo specific logo print karte hai ye ek prakar ka payment gateway hota hai. Jinke jariye bank ko online payment transfer karne me madad milti hai. Isme ek payment
gateway server hota hai, jinse ye pura system operate hota hai. India ke paas khud ka payment gateway hai. Ab hum janege Rupay card ke baare me puri jankari.
Rupay ATM Card Kya Hai :-
Rupay card ka matlab ye hota hai ki Ruppes ka Transaction. India me Jandhan yojana me bahut se logo ke bank account open kiye, sabhi customer ko Rupay ka Atm card diya gaya hai. Is Rupay card ke jariye hum pure bharat me online payment kar sakte hai. Rupay card ko NPCI (National Payment Corporation of India) ne banaya hai. Hal me hi NPCI ne online paise transfer karne ke liye mobile ka BHIM app launch kiya hai.Bharat me sabhi prakar ki UPI service ka fayda utha sakte hai, ye payment gateway apna paise transfer karne ke liye kuch Extra charge lete hai.Rupay debit card dusre debit card ki tulna me aadhe se bhi kam hota hai.
Agar aapko apne hi desh ki bank me paise transfer karne hai to aapke liye Rupay card behtarin hai. Bharat me sabhi sarkari bank apne customer ko rupay card hi deti hai. Online Gas bill bharna, bijli ka bill bharna, online shopping karna,online recharge karna ye sabhi service aap
bharat me Rupay card ki madad se kar sakte hai.
Visa Card Kya Hai :-
Jis tarah se bharat me Rupay card NPCI dwara launch kiya hai, usi tarah se America me American multinational financial services corporation ne Visa Inc. ko launch kiya hai. Jiska use International payment transfer karne me hota hai. Bharat se dusre desh me paisa bhejne ke liye aapko Visa card ya koi dusre card ki help leni pad sakti hai. Kyuki Rupay card sirf swadeshi service pe work karta hai. Visa card bhi alag alag prakar ke hote hai. Platinum visa card,gold visa card, aur silver visa card etc prakar ke aate hai. Visa card international finance ke liye work karta hai.
Card holder jis desh me hota hai is desh ka paisa Atm se nikal sakta hai. Agar aap bharat ke bahar hai, aur paise ki jarurat hai to aapko payment mil jayega lekin aapke account me paisa hona chahiye. Rupay card ki madad se aap videsh me se paisa nahi nikal sakte hai.Bank charge ki baat ki jaye to visa card ka charge rupay card se jyada hai aur platinum visa card ka charge sadharan visa card se jyada hota hai. Rupay debit card ka charge bharat me bank ke hisaab se lagta hai. Debit card aur credit card me bank inka charge fix karti hai.
Lucky Grahak Yojana Aur Digi Dhan Vyapari Yojana Ke Baare Me Jankari
Visa Aur Rupay Card Me Se Konsa Best Hai :-
Rupay card aur visa card ke baare me differance samjhne ke baad aapko khud samajh aa gaya hoga ki konsa card use karne ke liye best hai.Phir bhi hum aapko batana chahege ki agar aapka work india me kisi bhi prakar ka online transaction karna hai to Rupay card use karna chahiye, kyuki ye card bharat me accha work karta hai aur charge bhi bahut kam hota hai.
Agar aapko koi international company ko online payment karna hai ya videsh me kisi ko fund transfer karna hai to aapko Visa debit card select karna padega. Visa card se aapko international company ko payment karne me badi aasani rahegi. Indai ke kuch online site Rupay card
work nahi karta hai par Visa card se aapka work ho jayega. Ab aap apne hisaab se in do me ek card choice kar sakte hai.
Last Word :-
Dosto, Is post me aapne Visa Card Aur Rupay Debit Card Kya Hai iske baare me samjha. Ye post se related aapka koi sawal hai to hume comment box me jarur bataye.is post ko jyda se jyada social media par share kare. Aap facebook, whatsapp, twitter, instagram, linkedin, pinterest,
tumblr, stumblr open, medium, digg , reddit and g + par share kar sakte he.
4 Comments
Very nice and useful article ...... Thanks for sharing this!! :) :)
ReplyDeletevotre phrase est brillante
ReplyDeletehomerOa
Pretty nice post. I just stumbled upon your blog and wished to say that I have really enjoyed browsing your blog posts.
ReplyDeleteI really liked reading your post!. Quallity content. With such a valuable blog i believe you deserve to be ranking even higher in the search engines :)
ReplyDelete