Windows Ke Liye USB Pendrive Ko Kaise Bootable Pendrive Banaye

Dosto Aaj ke fast jamana me log sabhi kaam jaldi se karna chahte hai, wo bhi bina pareshani ke. Pehle jab hum apne computer me windows install karna hota tha to windows CD dalke install kar lete the. Lekin aaj ke time me jaydatar log Bootable Pendrive se computer windows install kar lete hai.Kyuki sabhi ke pas CD nahi hoti aur CD hoti hai to bhi khrab hui.Kai market me jake computer me windows dalwate hai to 200-300 rupees lelete hai.

To chalo aaj me aapko batata hu ki ham khud hi pen drive se window kaise dale aur pendrive ko bootable pendrive kaise banaye.CD rom se windows daalne me samay jyada lagta hai, aur DVD me problem hone par ho sata hai ki aapke computer ka installation ruk jaye par pendrive se fast boot loading and without stop process chalti rehti hai.

Windows Ke Liye USB Pendrive Ko Kaise Bootable Pendrive Banaye Hindi Me

Pen Drive Se Pc Me Windows Kaise Install Kare :-


Pehle aapko koi bhi Windows system ko computer me install karne ke liye USB pendrive ko bootable banana padega. Aap jis waqt DVD se windows install karte hai us samay CD bootable hoti hai. Aur windows installation process puri ho jati hai.

Windows Install Ke Liye USB Pendrive Ko Bootable Pendrive Kaise Banaye:-


bootable Pendrive banane ke liye sab kuch jaruri hai.
Pendrive (4 ya 8 Gb ka hona jaruri hai.)
Windows ISO file or windows 7/8 DVD for making ISO file Bootable software.

1. Aapki pendrive 4 gb se jyada space wali honi chahiye, kyuki windows ka size 3.7 GB se jyada  hai isliye.

2. Windows ISO file windows hoti hai jisse hum DVD ya pendrive ko bootable kar sakte hai. Agar aapke pass ISO nahi hai to aap isse minuts me bana sakte hai. Aapke paas windows ki DVD honi chahiye jisse CD se aap ISO file bana sakte hai. ISO file banane ke liye aapke paas ISO file maker software ya NERO software hona chahiye. iski madad se aap ISO file bana sakte hai.

3. Pendrive ko bootable banane ke liye aapko Wintobootic name ka software download karna padega. Jiske dwara aap apne pendrive ISO file dal sakte hai.

Wintobootic Software Install Link

Bootable Pendrive banane ki Puri Process :-


Wintobootic software download hone ke baad aap ise open kare. Jab aap zip file ko winrar se extract karte hai to waha pe ek file dikhai degi. ise install karne ki koi jarurat nahi hai, sirf open kare. Ek 4gb ya 8gb ka pendrive ko apne computer me daliye, uske baad pendrive ko puri tarah format kar de.Aap jab is software ko run karoge to aapko screen me ek taraf pendrive details show hogi. Ab aapko windows ki ISO file ko select karna hai.Agar quick format ka options show ho raha hai to is par check mark jarur lagaye. or iske bad Do it pe click kar dijiye.Do it pe click karne se aapko ek warning message dikhai dega usme aapko yes karna hai. baad me aapko kuch options dekhne ko milege.

Drive Formated

Bootloader Flashed

Writing Content...

Ise 100% complete hone tak raah dekhe aur isme se file copy ho jayegi aur is process ko success hone par aapki pendrive bootable ho jayegi.

USB Pendrive Se Window Install Karne Ke Fayde :-


1. Hum agar CD ya DVD se window dalte hai to jyada samay lagta hai aur USB pendrive se Window dalte hai to kuch hi minutes window install
ho jata hai.

2. Kai bar aapne dekha hoga ki CD se window dalte waqt PC hang ho jate hai aur CD kharab ho to window thik tarah se dal nahi paate. Lekin
pendrive se window dalne par aesi nobat nahi aati.

Apne Windows XP Ki Speed Kaise Badhaye [100% Working]


Last Word :-


To dosto, Is tarah se aap aasani se pendrive ke dwara apne PC me window dal sakte hai. Windows Ke Liye USB Pendrive Ko Kaise Bootable Pendrive Banaye ye jankari aapko kesi lagi comment box jarur bataye. Mitro, ek post ko taiyar karne me kafi mehnat karni padti hai. aapka ek comment aur ek share hume aapko aur bhi nayi jankari dene me kafi protsahit karta hai. Is post ko share jarur kare.

Post a Comment

4 Comments

  1. naturally like your web site but you need to test the spelling on several of your posts. A number of them are rife with spelling problems and I to find it very bothersome to tell the truth on the other hand I'll surely come again again.

    ReplyDelete
  2. You need to take part in a contest for one of the finest blogs on the internet.
    I'm going to recommend this web site!

    ReplyDelete
  3. What a class!!! All the interactivity!
    bague bulgari b zero replique http://www.aluxury.nl/fr/

    ReplyDelete