Android Mobile Me Custom Recovery Kaise Flash Kare Without Root

How to install custom recovery without root? Ji ha dosto, Ab aap apne android mobile ko bina root kiye hi usme custom recovery install kar sakte hai. Hum aapko step by step batayenge ki android mobile me custom recovery kaise install kare. Aap apne smartphone me custom recovery install(flash) karna chahte hai to aap humari ye post puri tarah padhe.

Android mobile me default stock recovery installed hoti hai jisme aap kuch bhi changes nahi kar sakte. Aesa is liye hota ki mobile company ke default system aur software ko aap follow kare. Agar aap android mobile me custom ROM ya root karna chahte hai to pehle aapko mobile me custom recovery install karni padegi. kyuki stock recovery aapko allow nahi karegi. Aapne kai baar suna hoga ki mobile me custom recovery install karne ke liye pehle aapka phone root karna jaruri hai. Lekin mai aapko bata raha hu ki aap phone ko root kiye bina custom recovery flash (Install) kar sakte hai.Niche bataye step ko aap follow karenge to aap badi aasani se custom recovery install kar sakte hai.

Android Mobile Me Custom Recovery Kaise Flash Kare

Custom Recovery Kaise Flash(Install) Kare


Android phone me 2 tarah ki custom recovery aati hai.
1. TWRP Recovery - Team win recovery project

2. CWM Recovery - clock work mode

Also Read :- Mobile Se English Bolna Kaise Sikhe – Learn To English In Hindi

Isame se mai aapko batata hu ki aap TWRP Recovery use kare. Kyuki ye recovery touch based hai. TWRP Recovery ko download karne ke liye yaha pe click kare  (Click Here). Aapko ye dhyan rakhna hai ki apne hi device ki recovery ko download kijiye. custom recovery install karne se pehle aapko phone ka bootloader unlock karna padega.

1. Aapko pehle apne phone me latest USB driver install karna padega.

2. Uske baad aap android SDK page par se SDK platform tools software ki zip file download     kare. Is zip file ko sirf unzip kare.

3. Ab aap TWRP Recovery ki img. file download kare aur usay SDK platform tools folder me   paste kar de.

4. Platform tools folder ko open karke folder ki empty space me Shift+Right Click kare aur 'Open a Command Prompt here' pe click kare. Dhyan rahe ki kisi bhi file par nahi sirf empty spacewali jagah pe hi click kare.

5. Ab aap apne android mobile ke developer menu me jake USB debugging option ko enable kar de. Agar aapke mobile developer menu me OEM unlocking ka bhi option aata hai to usko bhi enable kar dijiye.

6. Ab aapka mobile switch off karde aur mobile ko fast boot mode me on kare. Aesa karne ke liye Power+ Volume up button ek sath thodi der ke liye press kare. Usay apne computer ke saath usb se connect kare.

7. Ab aap step-4 me open kiye hue command prompt me ye command dale.

Fastboot flash recovery twrp.img

Fastboot Reboot

Uske baad aapka mobile restart hoga aur mobile me Custom recovery install ho gayi hongi. Ise check karne ke liye aapka mobile switch off kare aur Volume down +power Key button ek sath thodi der ke liye press kare. Ab aapka mobile recovery mode me open ho jayega.

Note:-


Maine batayi hui tips se aap Samsung aur mediatek device me custom recovery nahi kar sakte hai, Iske liye mai aapko alag puri process bataunga. Agar is process me kuch galat hua to aapka device bhi khrab ho sakta hai. Agar aap phir bhi custom recovery device karna chahte hai to iski puri jimmedari aapki hogi. Mobile phone ki warranty bhi nikal jati hai.

Also Read :- Nokia Ke Leaked News 2016 – 2017

To Mitro, Aapko Android Mobile Me Custom Recovery Kaise Flash Kare ki puri jankari mili gayi hogi aur hum aapko is tarah information dete rahenge. Agar aapko is post se related koi sawal hai to hume comment karke jarur bataye. Is article ko jyada se jyada social site pe apne
dosto ko share kare.

Post a Comment

3 Comments

  1. Hi

    How you add adsense ads between homepage posts ?

    ReplyDelete
  2. post ki left side me stylish social share button jo add kiye wo kansa plugin hai aur app begginet theme use kar rehe hain so search button ko thoda customize kare.

    App ki tarah main b hi begginer theme use karta hoon app chahe to mere blog par customize search box dekh sakte ho.

    ReplyDelete
  3. Gteat article for android user keep it up...

    ReplyDelete