Nokia Upcoming Android Smartphones Ki List 2017

Hello Dosto, Freehindihelp Blog me aapka swagat hai. Hum sab log to jante hai ki Smartphone ke market me Nokia ka bahut bada naam hai.Pehle log nokia ka name sunte hi mobile kharid lete the. Nokia jald hi bazaar me android smartphone launch kar sakti hai.Nokia ke userke liye ye bahut achhe news hai ki Nokia company ab Android ke mobile banayegi. Aaj mai aapko is post me 2017 me aanewale nokia ke smartphone ke baare me batane jaa raha hu. Nokia Upcoming Android Mobile full specification,price rate,Release date,Features,Reviews 2017 ye sab janne ke liye ye post puri padhe.

Aap sabko pata hai ki pehle nokia windows ke mobile banata tha, Lekin 2017 me aapko ye company Android Version wale smartphone banate dekhne ko milegi. Aap ko ye news mil gaye honge ki Nokia ko HMD company ne kharid liya hai. Ab ye sab HMD company handle karegi. HMD company ke CEO Pekka Rantala hai. Unhone kaha hai ki Hum puri koshish karenge ki hum market me kuch aise smartphones bhi launch karenge jo behtar hone ke sath sath budget me bhi ho. To chaliye dosto mai aapko 2017 me aanewale nokia ke naye model aur uski specification ke baare me batata hu.

Nokia Upcoming Android Smartphones Ki List 2017

Nokia Upcoming Android Phone Ke Model, Price, Specification :-


Nokia D1C Full Specification

1. Nokia D1C Full Specification :-


Nokia D1C mobile ki india me Expected Price Rs.10000 hogi.Company ne abhi tak is device ka fix price rate nahi bataya. Is device ki display ki Screen size 5 IPS FHD hai.Iska screen Resolution 1920×1080 pixels hai.Pixel density 441 ppi hai.Is device me Screen Protection - Gorilla Glass 4,Display Type - IPS LCD, Capacitive Touchscreen, Multi-touch ye sab display me aata hai.Iska Camera Primary 13MP Aur 8MP Front camera hai. Performance dekhe to Octa core processar Cortex A53, Chipset Qualcomm Snapdragon 430 MSM8937 hai.Is Mobile ki RAM 3GB hai aur Internal Storage 32GB hai. Iska OS version Android, v7.1 (Nougat) hai. Isme sensor Fingerprint Scanner,Light sensor, Proximity sensor, Accelerometer, Compass etc
sensor diye gaye hai. Nokia D1C ki battery 3000 mAh ki di hai. Camera features me dekhe to Autofocus,Flash,Geo-Tagging,Touch Focus,Panorama,Digital Zoom,Face Detection,Continuos Shooting,High Dynamic Range mode(HDR),Exposure compensation,ISO control. Nokia D1C Dual Sim hai aur isme 4G,3G.2G network available hai.

2. Nokia Edge Full Specification :-


Is mobile ki price Rs.42000 ho sakti hai. Nokia edge ki display 5.5 inches, screen Resolution 1920 x 1080 pixel,401 PPI Density hai. Is mobile ka camera dekhe to primary 23MP aur 8MP front camera hai.Aur Isme Octa core processor,3GB RAM aur 32GB internal storage hai. Nokia Edge me video recording 1920x1080 @ 30 fps, 1280x720 @ 120 fps me hota hai.Camera features me Autofocus, Flash,Geo-Tagging, Touch Focus,Panorama,Digital Zoom,Face Detection etc aata hai.USB connectivity me USB Type-C 1.0 reversible connector aata hai. Is mobile ki battery 3600 mAh ki hai.ye mobile me Dual sim slot aata hai dono micro sim. Isme Os version Android 7.0 Nougat hai.

Also Read :- Nokia Ke Leaked News 2016 – 2017

3. Nokia XpressMusic NX Full Specification :-


Is mobile ki price Rs.59999 ho sakti hai.Is mobile me Windows 10 version hai. ye Android system pe nahi balki windows system pe kaam karega.Is device ki display Nokia Edge jaisi hi hai. Primary camera 16MP aur 8MP front camera hai.Isme Quad Core processor,3GB RAM aur 32 GB internal storage aata hai.Nokia XpressMusic NX ki battery 3500 mAh ki hai. Special features me dekha jaye to Corner placed speakers,Could past 100 decibels aur QWERTY keyboard mobile aata hai. Baki sab Specification Nokia edge ke jaisi hi hai.

4. Nokia P1 Full Specification :-


Nokia P1 phone ki Expected Price Rs.24999 ho sakti hai.Iski display size 5.4 inches hai.Iska primary camera 22.5MP aur 8MP front hai.ye mobile single sim wala hai.iski battery 3000 mAh hai.Isme operating system Android 7.0. Nougat aata hai. Iska internal storage 32GB,RAM 3GB hai aur processar Quad core aata hai.Ye mobile waterproof hai aur isme fingerprint scanner bhi aata hai. Camera features me dekhe to Autofocus,Flash,Geo-Tagging,Touch Focus,Panorama,Digital Zoom,Face Detection,Continuos Shooting,High Dynamic Range mode (HDR),Exposure compensation,ISO control ye sab mojud hai. Nokia D1C mobile ki tarah isme bhi same feature hai.

Nokia P1 Full Specification

5. Nokia C9 Full Specification :-


Is Phone ki Expected Price RS.15999 hai.Iski Display Nokia D1C jaisi hai.Iska primary camera 16MP aur front camera 5MP ka hai.Isme octa core processar diya hai aur 3GB RAM di gayi hai.Isme Android 6.0(Marshmallow) version hoga. Is device me Battery Capacity 4000mAh ki hogi.Isme internal storage 32GB hoga aur Expandable up to 64GB badha sakte hai.Camera features me Autofocus,Flash,Geo-Tagging,Touch Focus,Panorama,Face Detection etc. Ye Mobile 4G,3G Supported aur dual sim hai.

6. Nokia RM-1490 Full Specification :-


Is Mobile ki price Rs.10999 hogi. Nokia RM-1490 ki display Nokia edge ki display dono same hai.Iska primary camera 16MP hai aur front camera 8MP hai. Iska performance dekhe to Quad core processar diya hai, aur 2GB RAM di gayi hai. Isme operating system Android 4.2.2 (Jelly Bean) version aata hai.Ye mobile me Dual sim slot aata hai aur dono micro sim hai. Iska internal storage 16GB hoga. Nokia Upcoming Android Mobile bahut achhe honge.

7. Nokia 6 Full Specification :-


Nokia 6 mobile ki Expected price Rs.16700 hogi.Is mobile ka camera Rear/Facing 16/8MP hai. Display size 5.5 inches,Resolution 1080×1920 pixels aur 401 PPI Density hai.Yeh smartphone android ke naye operating Android 7.0 (Nougat) par aadharit hoga. Isme Octa core processor,4GB RAM,aur Chipset Qualcomm Snapdragon 430 processor hogi.Isme internal storage 64GB hai aur iski battery 3000 mAh ki hai. Is mobile me Dual sim honge aur 4G,3G,2G supported hoga. Iski screen 2.5D Gorilla Glass protection and IPS LCD, Multi-touch hogi.

Iske alawa Nokia company 2017 me Android ke bahut se device launch karnewali hai. Jaise ki Nokia 5320,Nokia Swan,Nokia P,Nokia C1,Nokia Z2 Plus,Nokia E1,Nokia Pixel,Nokia Prism,Nokia A1,Nokia Ara,Nokia 8 Nokia Upcoming Android Phone honge.

Also Read :- Convert Any SimCard In Jio Mobile Number Portibility

Last Words :-


So Friends, Aapne Nokia Upcoming Android Smartphones 2017 me aanewale mobile ke baare me jankari prapt ki. Aap is information ko social site pe apne friends ko bhi share kar sakte hai.Aapko is post ke baare me kuch kehna hai to aap hume comment kar sakte hai.

Post a Comment

0 Comments