Infolinks Adsense Ka Best Alternative Kyu He - Hindi Me

Hello dosto freehindihelp blog pe aapka svagat he aur is bar hum aapke samne leke hajir he ek question aur wo he infolinks adsense ka best alternative kyu he hum is question ko bahut hi ache se explain kiya he and ummed karta he aap issey dhyan se read karenge. aap hamari pichhli post Indian Paypal Account se Fund Transfer And Shopping Kaise Kare bhi jarur padhe.

You may also like :- Sitewide Provide Kar ke Paise Kaise Kamaye

best-adsense-alternative-infolink

Infolinks Adsense Ka Best Alternative Kyu He - Hindi Me


 

Infolink-vs-google-adsense






infolinks ki automatic Ads system :-


jee ha aap infolinks ki ad system dekhenge to dang rah jayenge. Tag ads se lekar keywords ads me baht hi behtarin he. upar se ye aapki website speed ko nuqsan bhi nahi pahuchata he puri website load hone ke baad banner dikhate he. uske alava popup banner more clickable hota he jiska high ctr aapko milta he yani jyada se jyada clicks. Dusri taraf aapko har jagah code past karne ki jarurat nahi he. ek baar aapne code body ke andar add kar diya uske baad aap direct setting kar payenge infolinks ke andar se aur sab automatic he.
link ads jo ki maximum 12 tak aap apne article me dikha sakte he. uske alava after post automatically tag ads show hote he aap chahe to off kar sakte he. article ke bich me aap ads lagana chahte he to aap wah bhi kar sakte he. kul milakar me aapse ye kehna chahunga ki infolinks ke ads dusre sabhi blog monetization program se bahut hi behtar he jo aapko sabse jyada CTR dilane me madad karta he.


infolinks ka approval system :-


infolinks aapko 24 to 48 hour me approval de dega and ye google adsense jitana strict bhi nahi he. bus aapne application diya aur 24 to 48 hour me aapko approval mil bhi jayega bus aapko dhyan ye rakhna he ki website English me ho. Hindi language infolinks support nahi karta he. dusri wajah ye ki infolinks ke users ka account adsense ke muqabale jyada safe he because google adsense approval se jyada accounts to ban kar deta he aur kayi mamlo me thos wajah bhi nahi hoti he and banned ho jata he.

agar kisis ne aapke blog pe click bombing kar diya tab bhi  aap musibat me aa sakte he jab ki galti aap ki nahi he. anyway aap wordpress plugin se invalid clicks ko notice kar sakte he to uska istemal jarur kare otherwise infolinks ek best alternative sabit hoga aapke liye.

infolinks ki badhiya payment system :-


infolink check and bank ke alava paypal aur bhi bahut sari payment system he. Google adsense 100$ hone par aapko 1 mahine me pay karta he jab ki infolinks 50$ hone par aapko 2 month me pay karega.payment aap paypal ke jariye bhi chahe to le sakte he. to dosto yadi aap google adsense VS Infolinks ka comparison  karenge to infolinks best he bus sabse pehle aapko adsense hi try karna he.

adsense approval na milne par ya banned hone par aap infolinks as a alternative ke taur par start kar sakte he. aap chahe to affiliate+infolinks bhi istemal kar sakte he aur ye bahut hi kifayati he. aaj kal jyadatar event blogger infolinks ki taraf badh rahe he and bahut hi faydemand and trusted program sabit ho chuka he.

jo bhi ho pehli pasand to google adsense hi honi chahiye. Vese infolinks hindi ko support nahi karta he to aapko iske liye sabse pehle English website se approval karana he uske baad aap hindi site me bhi ad placement kar sakte ho lekin ye trick he. mere khayal se legally English blog me istemal kiya jaye to behtar he.

freehindihelp blog ko subscribe kare aur daily mail delivery apne email pe paye. Sidebar me jakar email enter kare aur name enter kare uske baad subscribe pe click kare uske baad email verification ke baad aap sidhe epne email me daily posts receive kar payenge. Aap easily unsubscribe bhi kar skate he.

Bitcoin Kya He Aur Bitcoin ka Istemal Kaise Kiya Jata He

Affiliate Marketing se Achhi Income Karne ka Tarika

Conclusion :-


So pyare mitro aapne jana ki infolinks adsense ka best alternative kyu he yadi is bare me aur bhi niji jankariya  uplabch karana chahte he and koi bhi question puchhna chahte he to aapke liye comment ke darvaje hamesha khule he. yadi aap comment karenge to ye hamare liye khushi ki baat he. is post ko social media par jyada se jyada share kare taki dusre users bhi isko jaan paye. Dhanywaad. Jyada updates ke liye freehindihelp ke sath jude rahe.

 

 

Post a Comment

3 Comments

  1. Hello Sir,
    kafi achchha article likha hai aapne,
    aapki kitni earnings hojati hai monthly is blog se ?

    ReplyDelete
  2. Thanks to Admin for sharing the above Google Adsense Alternatives. I am a blogger. I have a site like Pinterest. Due to non-content based portal here I am not getting Google Adsense Account. Refer to you I tried with Bidvertiser and thanks god I got an active account. Now a day I am using that account to earn online. Keep sharing such articles. It will help many blogger to fullfil their dream. Good Job!

    ReplyDelete
  3. 279461 203809Lovely sharp post. Never considered that it was that effortless. Praises to you! 706889

    ReplyDelete