Mobile Se English Bolna Kaise Sikhe - Learn To English In Hindi

Hello Dosto, Aaj me aapke liye ek aur article lekar aaya hu ki Mobile Se English Bolna Kaise Sikhe. Mera manana hai ki mera ye article aapko English bolene ki shuruat karne ke liye jarur madad karega. How to learn Spoken english in hindi, Kaise sikhe english bolna, English speaking kaise sikhe, Mobile se angreji kaise sikhe ye sabhi sawalo ke jawab aapko is post me mil jayega.

Cashless Digital Payment Transaction In India – Hindi Me

Aaj ke zamane me english bolna behad jaruri hai kyuki koi bhi vyakti aapko english me bolta hai aur aap wo samjhte nahi hai tab aapki musibate badh jati hai. Aap apni personality kho dete hai. Mai ye samjhkar post likh raha hu ki aap logo ko english grammer aur vocabularies pe achhi pakad hai, aur ab aap english kaise bolna sikhe ye janna chahte hai to wo mai aapko bata deta hu. English ek aesi language hai jo pure world me Fast and good communication ke liye boli jati hai. Aaj ke digital duniya me bina english ke jeevan jeena bahut kathin hai.India ke major cities me hindi ki jagah english communication ka bahut jyada use hota hai.
To chaliye mai aapko batata hu ki Mobile Se English Bolna Kaise Sikhe.

Mobile Se English Bolna Kaise Sikhe - Learn To English

Smart English Bolna Kaise Sikhe :-


English koi jaadu ki chadi se nahi sikhi jaa sakti. Iske liye hume apni life me kuch changes lane ki jarurat hai. kuch log ye mante hai ki English sikhne ke liye tense ka knowedge hona jaruri hai, lekin ye bilkul galat hai. English speaking ke liye hamesha practice ki jarurat hoti hai. Tense ka gyan 10% hi kaam aata hai. Bus humko name, past, present,future etc ke dhyan me aur iske matlab ko dhyan me rakhna hai.Aur aap English speaking application ke jariye english sikhne ki practice time to time karenge to aap perfact english bolne lagege.Zindgi me hamesha Practice Makes perfact Line yaad rakhna. Ab aapko mai English sikhne ki kuch android application ke baare batata hu.

English Sikhne Ki Android Application :-


English Sikhne Ki Android Application

Hello English: Learn English Application


Apne Android mobile se English sikhne ke liye ye application sabse achhi hai. Apne mobile me Google play store open karke Hello English: Learn English Application download kare. Ye apps ko free spoken english app bhi kehte hai. Jis tarah se ek teacher aapko school me lession padhata hai usi tarah ye hello english apps hai jo ki har lession ke bad exam leta hai. ye application google play store 10 million se jyada download hui hai. Aap is app ke exam me pass ho jate ho to new chapter open hota hai. Ye application 21 Language me English sikhata hai. Jiski madad se English sikhne me badi aasani hogi. Jab aap 30 din me english sikh jayenge tab aapko ye apps english me talk bhi karega. Aap is app ko bina internet ke chala sakte hai.
Hello English Learn English Application ko Install karne ke liye niche di gayi link click kijiye.

Install Hello English Learn English Application

Speak English in 30 Days :-


Ye Application humko English speak course hindi me sikhati hai. Is app ko google play store me 1 million se jyada logo ne download ki hai.Is application ko is tarah design kiya gaya hai ki har koi vyakti 30 din me english speaking sikh sakta hai. Lekin usko baar-baar iski practise karni padegi.Speak English in 30 Days Application ko Install karne ke liye niche di gayi link click kijiye.

Install Speak English in 30 Days Application

English Conversation Practice Apps :-


Is Application ko TalkEnglish education team ne devlope kiya hai. ye app play store me 1 million se jyada download hui hai. pehle mene aapko bataya ki English sikhne ke liye aapko practice ki jarurat hogi. Ye application ki help se aapko ye pata chal jayega ki kis time pe konsa word bola jata hai. English Conversation Practice Apps me aapko har tarah ki english bolne wali ka meaning pata chal jayega. Jisse aap bahut kam samay me english speaking sikh jayenge aur bol bhi sakenge. Is application ka play store me rating bhi bahut accha hai.English Conversation Practice Application ko Install karne ke liye niche di gayi link click kijiye.

English Conversation Practice Application

Agar aap English speaking start chahte hai to tab aapko 40% mehnat karni chahiye listening pe aur 40% mehnat karni chahiye English grammer pe aur then just 20% mehnat karni chahiye speaking pe. yahi ek tarika hai jo kisi bhi language ko learn karne ya bolna shuru karne ka. Aaj hum sab ne sikha ki Mobile Se English Bolna Kaise Sikhe - Learn To English In Hindi. Google play store me English sikhne ke bahut android application available hai, aap play store me search karke Install kar sakte hai.

Also Read :- Gmail Id ko Hack Hone Se Kaise Bachaye – Janiye Hindi Me

TO Dosto, Agar aapko ye article sachmuch valuable yani ki upyogi laga aur aap mujhe dhanyawaad kehna chahte hai to mujhe aapke kisi bank balance ki jarurat nahi. Aap mere liye choti si chiz kar sakte hai, bas is post ko social media sites jaise ki facebook, twitter, google plus,Whatsapp ya kisi aur site pe share kar de. Is tarah is post ko likhne par lagi mehnat ke liye thank you keh sakte hai. Is post ke niche Sharing buttons diye hai us pe click karke is post ko aap share kar sakte hai. Thankss For Visiting....Aapka Din Shubh Rahe.

Post a Comment

1 Comments