Facebook Pe 360 Degree Photo/Video Kaise Banaye Aur Kaise Post Kare

Dosto Aapne dekha hoga ki aajkal facebook pe 360 degree wala image aur video jyada log post karte hai. Facebook me sabse jyada like and share 360 degree wale picture pe hi milte hai. Hal hi facebook ne ye feature launch kiya hai jo kafi popular ho gaya hai. Lekin aapko ye nahi malum hota ki 360 degree photo/video kaise banate hai? Facebook pe 360 degree me image upload karne ke liye kuch tips pata hona jaruri hai. 360 degree image ke liye aapko 360 degree camera purchase karna padta hai. Lekin aap apne android mobile me bhi 360 degree picture bana sakte hai. Ise aap facebook ya other social site pe post kar sakte hai. 360 degree ka matlab to aap sab jante hi honge, bachpan me school me hum sab ne bahot maar khai hai angle or degree yaad karne ke liye.

Also Read :- Facebook se Daily 1000 + Traffic Kaise Prapt Kare

To aaj hum aapko batayenge ki 360 degree photo/video Kaise Banaye Aur Kaise Post Kare. Aur ise facebook pe post kaise kare. Jab se mobile par VR ka aaviskar hua hai tab se 360 degree image aur video ki maang badh gayi hai kyuki ek normal photo ko aap sirf ek hi angel se dekh sakte hai, jabki 360 degree picture ko aap har angel se dekh sakte hai. Sath me aap apne phone ko kisi bhi angel me ghumakar usi prakar image ko bhi dekh sakte hai. How To Take & Post 360 degree VR photos to Facebook From Android? how to take 360 photos iphone,how to view 360 photos on facebook,how to take 360 photos android,facebook 360 photo upload etc aapke ye sabhi question ka answer is post me milega.

Facebook Pe 360 Degree Photo Video Kaise Banaye

Facebook Pe 360 Degree Photo/Video Kaise Banaye Aur Kaise Post Kare:-


360 Degree Photo/Image Kaise Banate Hai


How to make 360 Degree image on facebook

360 Degree wali image banane ke liye pehle aapko kuch android apps download karni padegi. Iske liye 3 apps available hai, jiski madad se  aap apne mobile me 360 degree wali image capture kar sakte hai.

1. Panorama 360 camera :-


Panorama 360 camera download

Aapne kai mobile ke camera me panorama photo khichane ka options dekha hoga, lekin usse achhi panorama photo nahi aati aur camere se 360 panorama photo nahi khicha jaa sakta hai. 360 panorama photo khichne ke liye aapko apne mobile par 360 panorama app download karna hoga.Is app ke jariye aap kisi bhi sthan ka 360 degree ka image badi aasani se khich sakte hai. Panorama 360 camera : FB Share app ko aap google play store me search karke download kar sakte hai. Ye app ko google play store me 5 millions se bhi jyada logo ne download ki hai. Panorama 360 camera app ko install karne ke liye niche di gayi link pe click kijiye.

Panorama 360 camera App Install Link

2. Google Street View :-


Google Street View app download

Ye application bhi 360 degree image khichne ke liye bahut popular hai. Google Street View app google play store me 500 millions se bhi jyada download hui hai. Is app ke developer ko top developer ka symbol mila hai. Google street view app ko aap bilkul free me download kar sakte hai. Ye app install ho jane ke bad aap camera icon pe click kare, uske bad aapse permission magega usay allow kar de. Ab aap ek hi jagah pe khade rehkar apne mobile ke camera me diye janewale instruction ko follow karke image capture kare aur 360 degree pe
picture khichne ke bad usko apne mobile me save karle. Google Street View app ko download karne ke liye niche batayi link pe click kare.

Google Street View App Install Link

3. Google Camera :-


Google Camera app download

Yeh google ka hi app hai jise 2014 me launch kiya tha. Google Camera app ko aap google play store se download kar sakte hai. Is app ko download karne ke bad ise aapke mobile me install kare. Google camera app ko open karte hi aapki screen pe Photo Sphere Mode ko select kare uske bad aapka camera open ho jayega. Ye app google play store me 1 millions se bhi jyada download hui hai. Ab aap ek hi jagah pe khade rehkar apne mobile ke camera se 360 degree ghum ke step by step photo ko capture kare. Jab aapke chare taraf ki picture capture ho jaye to right par click karde aur iske kuch second bad aapki photo save ho jayegi. Google camera app ko download karne ke liye yaha link di gayi hai uspe click kare.

Google Camera App Install Link

Facebook Pe 360 Degreewale Photo Post Kaise Kare


360 degree photo/video post karne ke liye pehle to aapke mobile me facebook ka latest version install hona chahiye. Jaise aap facebook pe normal picture upload karte hai thik usi tarah ye photo upload karna chahiye. Facebook open karke usme photo options pe jake 360 degreewali image ko select karke upload kar de. Jab aapka photo upload ho jata hai tab aapko screen pe 360 degree ka icon dikhega. Ab aap Apni Photo ko Social media pe dosto ke sath share kar sakte hai.

Also Read :- Whatsapp Ka Naya Feature Update Video Status Ke Bare Me Puri jankari

To Mitro, Mai umeed karta hu ki Facebook Pe 360 Degree Photo/Video Kaise Banaye aapko puri tarah samajh aa gayi hogi aur facebook pe kaise post karte hai uske bare me jan gaye honge. Agar aapko is post ke bare me kuch sawal hai to aap hume comment karke jarur bata sakte hai. Hum aapko isi tarah harroj nayi nayi jankari dete rahenge aur aapko isi tarah jankari Email pe prapt karne ke liye humari website ko subscribe kare. Is post ko jyada se jyada social site pe apne dosto ke sath share kare. Aapko ye post kaisi lagi ye comment karke jarur bataye.

 

Post a Comment

2 Comments

  1. bahut badiya aritcal likha hai apne ... please ek baare mere site par visit kar ke dekho or btao koi kami to nahi hai na.

    ReplyDelete
  2. Neeraj bhaiya bahut hi badiya site hai Aapki..Good Work.

    ReplyDelete