Health Insurance Kya Hai,Kaise Le Aur Fayde Kya Hai Puri Jankari

Hello Dosto kaise ho aap sabhi. Aaj ke fast yug me sabhi logo ka lifestyle badal raha hai. pichle kuch saalo se health insurance har ek family ke liye bahut jaruri ho gaya hai. Is duniya me rahnewala har ek pariwar yahi chahta hai ki uski family sabhi tarah se khush rahe aur unko har ek subidha mile. Harek family ke log alag alag tarah ke insurance plan karwate hai, jisme health bima bhi aata hai. Aap apne family ka health bima karwa lete hai to aapko bahut prakar ke fayde hote hai. Lekin bahut se log life insurance le lete hai, balki health insurance bahut kam log lete hai. Jabki mera manna hai ki health insurance pehle se hi le lena chahiye.

Also Read :- Gas Cylinder Muft Bima Yojana Ki Puri Jankari Aap Ko Pata He Kya?

Kyoki agar aapke pass swasthya bima hai to aap apni family ke swasthya ka kharcha bacha sakte hai. Aaj mai aapko insurance topic par kuch khas bataunga ki swasthya bima kya hai aur swasthya bima kaise le aur iske fayde kya hai. To dosto ye post aap sabhi ke liye padhna bahut jaruri hai kyuki is post se judi puri jankari di jayegi. Kuch logo ko insurance ke bare me pata to hota hai, lekin health bima ke baare me nahi pata hota. Chaliye koi bat nahi aaj mai aapko health insurance ke bare me aaram se samjha dunga.

Health Insurance Kya Hai,Kaise Le Aur Fayde Kya Hai

Health Insurance Kya Hai,Kaise Le Aur Fayde Kya Hai Puri Jankari


Health Insurance Plan

Health Insurance Kya Hai? What is Health Insurance:-


Yaha mai aapko batana chahunga ki aap sabhi apni motar car ya bike ka bima matlab ki insurance to kara lete hai tab aap ye fix kar lete hai ki agar kahi accident ho bhi gaya tab aapke car ya bike ke repairing ke paise bach jayenge. Kyuki aapke pass uska bima hai, lekin aapne ye kyo nahi socha ki agar accident me aapko kahi chot aa gayi ya koi bahut bada hadsa ho gaya phir..??

Lekin agar aapne apna swasthya bima karwa rakha hai to aapke hospital ka pura kharcha aapke insurance ki company ko bharna hota hai. Aese me aap aur aapka pariwar dono surshit rahte hai. Isliye swasthya bima bahut jyada jaruri ho jata hai. Maanlo aap bahut tez bimar pad gaye tab agar aapne samay  par apna swasthya bima karwa rakha hai to aapko chinta karne ki koi jarurat nahi. Kyoki aapke ilaz ka kharcha apne aap aapka swasthya bima se bach jayega. To Ye tha swasthya bima.

Health Insurance Ke Bare Me Puri Jankari:-


swasthya bima ke do prakar ke bima hota hai. 1.Personal insurance aur 2.Family insurance. LIC swasthya bima ye india ki bahut popular company hai. LIC bima company logo ko harek prakar ke insurance ka offers deti hai. swasthya bima ek prakar ka bima hota hai jo kisi bima company se liya jata hai. Ye bima lene ke baad aapke aur aapki family ke sabhi members ki bimari me honewale kharche pe paisa deta hai. Lekin ye kitne paise tak aapki help karta hai wo aapke insurance plan aur insurance policy pe depend karta hai.

Isme aapko har saal premium bharna padta hai,matlab ki aapko aapke insurance plan ki rashee ka bhugtan karna hota hai. Ye aap pe depend karta hai ki aap kaisa insurance plan choice karte hai. Bimari bolkar nahi aati hai aur aaj ke fast yug me heart attack, TB jaise khtarnak bimari 25-30 sal ke vyakti hoti hai. Aese me jaruri hai ki aap apne aapko aur aapke pariwar ko kisi bhi bimari ki achhe se achha ilaz karwaye aur aaksmik boj se bachne ke liye swasthya bima jarur karwaye.

Health Insurance Plan Kaise Select Kare:-


swasthya bima plan choose karne se pehle aapko jis insurance company se aap plan le rahe hai uske bare me janna chahiye ki wo kitni trusted hai aur uski policy kya hai. Sath hi aap ye bhi dekhe ki aapka swasthya bima plan aapki family ke kin kin members ko cover karta hai. Sath hi yeh bhi jan le ki aapka plan kaise aapki help karega aur kab aapko payment karega.

Aap jo swasthya bima plans buy karne ke liye jaa rahe hai uski industry ke experts ke dwara high ratings honi chahiye. Iske sath sath aapko uss swasthya bima plan ke customer reviews ko bhi read karna chahiye. Aapko ek baat ka dhyaan rakhna chahiye ki ek quality swasthya bima plan kabhi bhi policy holder ke liye helping job nahi hota hai. Aapko ye bhi check kar lena chahiye ki aapka plan wellness program offer kar raha hai ki nahi.

Health Insurance Plan Ke Fayde Kya Hai


Yeh insurance har kisi ke liye bahut hi mahtavpurna hai. Bimari ka intezar kiye bina apni jarurat ko dekhte hue health policy leni chahiye. Agar aapke pas health insurance hai to aap apne aur apne family ke swasthya ka kharcha bacha sakte hai. Agar aapke car ya bike ka accident hota hai to aapko bima company vehicle ko repair karne ka paisa deti hai. Aapke paas Health card hai to aap accident hone pe kahi jagah pe koi bhi hospital me admit ho sakte hai. Aese Health insurance ke bahut fayde hai wo mai aapke next post me bataunga.

Also Read :- Yatra Ke Samay Pe Ulti Rokne Ka Jane Upay – In Hindi

To Mitro, Is tarah se aaj mene aapko Health insurance se judi jankari di hai aur mujhe lagta hai ki ye sabhi ke liye janna bhi bahut jaruri hai. Kyoki aapka Health insurance hai to aap apni family ke sath surshit hai. Dosto umeed karta hu ki ye jankari aapko achhi lagi hogi. Aap is post ko apne friends ke sath social site pe jyada se jyada share kare.

Post a Comment

1 Comments

  1. I have noticed you don't monetize your website,
    don't waste your traffic, you can earn additional bucks every month because you've got
    high quality content. If you want to know how to make extra money, search for:
    Boorfe's tips best adsense alternative

    ReplyDelete