Online Voter ID Card Kaise Banaye | Registration Apply Kare

Aap ek indian person hai to aapko pata hi hoga ki apne desh me Voter id ki kitni value hai. Voter id ki madad se hum election ke time apna vote kar sakte hai. Aur ye bahut se jagah pe document ke roop me kaam aata hai. Voter ID Card banvane ke liye hame election ke samay ka intejaar karna padta hai. Bhaut chakkar katne ke bad hume voter id milta hai. Kisi bhi country me apne khud ki pehchan batane ke liye kuch document banaye gaye hote hai. Jiski madad se ye pata chale jata hai ki aap kis country ke rahnewale hai.

Also Read :- Aadhar Card Ko Bank Account Se Kaise Jode (Offline Method)

Humare india me Aadhar card aur voting card ye 2 sabse important document hai, jiska use hum har jagah identity kar sakte hai. Aaj hum is post me janege ki Online Voter ID Card Kaise Banaya jata hai. Yadi aapki age 18 years ya is se jyada hai to aap voter id ke liye apne ghar baithe online apply kar sakte hai. Ye service bilkul free hai, matlab aapko iska kisi bhi prakar ka charge dena nahi padega. To chaliye step by step jante hai ki kaise voter id card online ghar baithe kaise registration kare.

Online Voter ID Card Kaise Banaye

Online Voter ID Card Kaise Banaye/ How To Voter Id Apply Online


How To Voter Id Apply Online

Iski process jyada lambi nahi hai, aap ise mobile se bhi kar sakte hai. Online voter id card ke requirements me aapko apna address proof, age proof aur passport size ka photo hona jaruri hai. Waise to aap voter id card 2 prakar se bana sakte hai. (1) Offline aapke area ka jo election incharge hai uske pass form apply karke de sakte hai. (2) Online apply karke banva sakte hai.

Step 1. Open NVSP Site:-


Sabse pehle aap apne PC ya Mobile ka browser open karke www.nvsp.in search kare.

Step 2. Apply Online:-


Site pe aapko Apply Online For registration of new voter options pe click karna hai. Ab aapke samne ek form open hoga usme apni sari information fill karni hai. Form hindi me hoga is liye aapko easily samajh me aa jayega. Sabse uper apna state slect kare uske aage aapka parliamentary/assembly koi me ek ko select kare.

Step 3. Applicant details:-


Applicant details me apni information fill karde.Example: apna name, date of birth, religion, birth place etc.

Step 4. Particulars of place of present ordinary Residence (Full address):-


Isme aapko apna pura address dena hai aur sath me mobile number aur email id bhi fill up karna hai.

Step 5. Details of member(s) of applicant's family already included in the current electoral roll of the Constituency:-


Yaha par aapko relative ke baare me details fill karni hai. Isme relative ka naam, aur iske sath aapka kya relation hai wo bataye aur voting card ki details bhare.

Step 6. Upload Supporting Document:-


Aapko kuch document ko upload karna padta hai. Aap apne sare document ko scan karke upload kijiye. Jisme aapko Colour passport size photo,Scanned Copy Of Address Proof, Scanned Copy Of Identity Proof ye document aapko upload karne hai. Scanned Copy Of Address Proof me apna ration card, light bill,electricity bill, de sakte hai.

Step 7. Declaration:-


Jis tarikh pe aap form bhar rahe hai wo date or place select karke save kare aur uske baad form ko submit kare. Form submit karne ke baad aapke mobile aur email id pe code aayega jiski madad se hum aage humara form ko track kar sakte hai.

Application submit karne ke baad kuch dino ki processing ke baad aapka form aapke area ke booth level officer ke paas jayega. Wo aapke ghar aakar aapki di hui information check karenge. Jaruri document lenge aur aapke signature lekar chale jayege. Kuch din baad aapka voter id  card post ke dwara aapke ghar pe aa jayega.

Also Read :- Credit Card Aur Debit Card Kya Hai | Janiye Aapke Liye Konsa Behtar Hai

I hope ki ye post Online Voter ID Card Kaise Banaye/Registration Apply Kare ki jankari bahut achhi lagi hogi. Aapko is post se related koi sawal hai to aap mujhse commentbox me comment karke puch sakte hai. Aesi har roz nayi information pane ke liye humari site ko subscribe kare taki koi bhi nayi information aapko sabse pehle Email pe mile. Is post ko aap apne dosto ke sath social site pe share kar sakte hai.

Post a Comment

4 Comments

  1. " I loved as much as you'll receive carried out right here The sketch is attractive, your authored material stylish nonetheless, you command get bought an edginess over that you wish be delivering the following unwell unquestionably come more formerly again as exactly the same nearly very often inside case you shield this hike " games you can play without wifi free games no wifi

    ReplyDelete
  2. You actually make it seem so easy with your presentation but I find this topic to be really something which I think I would never understand.
    It seems too complicated and very broad for me. I am looking forward for your next post,
    I will try to get the hang of it!

    ReplyDelete
  3. It is the best time to make some plans for the future and
    it's time to be happy. I have read this post and if I could I want to suggest you few
    interesting things or advice. Maybe you can write next articles referring to this article.
    I wish to read more things about it!

    ReplyDelete
  4. Hi there very cool site!! Guy .. Beautiful .. Wonderful ..
    I'll bookmark your web site and take the feeds additionally?
    I'm satisfied to search out numerous useful information right here within the publish, we need work out more strategies on this regard, thanks for sharing.
    . . . . .

    ReplyDelete