USB Pendrive Ko Computer RAM Kaise Banaye - Virtual Memory

Hello Dosto, Mai aaj aapko bataunga ki Usb pendrive ko kaise computer system ki RAM bana sakte hai. Apne pendrive ko RAM ki tarah kaise use kare. Hum sab log jante hai ki computer ki RAM kam ho to hamara pc slow chalta hai. Aapko sabse pehle ye bata de ki ye RAM us tarah kaam nahi karegi, jis tarah original Ram kaam karti hai. Lekin ye RAM se aapke PC ka hang hona kam ho jayega. Aap log kai baar dekhte honge ki apne dosto ya family member ke pc ki speed bahut kam hoti hai aur baar baar hang ho jata hai. Ye sab problem kam Ram ka hota hai. Rs.20000 to 30000 ke range me aanewale bahut se computer ka RAM 1gb se 2gb tak hi rehta hai.

Also Read :- Windows Ke Liye Pendrive Ko Kaise Bootable Pendrive Banaye

Aap log to apne computer ya laptop me Ram badha sakte hai, lekin middle class ke logo ke liye ye bahut muskil hota hai. Market me aapko bahut si company ke Ram mil jate hai aur unka price bhi alag alag rehta hai. 1gb Ram ka price 1000 se shuru hokar 3000 se 5000 tak hota hai. Is liye sabhi log itna jyada kharch kar nahi pate. Agar aap bhi inhi logo me se ek hai to aapke liye mai bahut badiya idea leke aaya hu. Aap apne computer me bina kharch kiye RAM ko badha sakte hai, jo mai aapko batane jaa raha hu. To chaliye jante hai ki USB Pendrive Ko Computer RAM Kaise Banaye. Iske baare me mai aapko kuch tarike batata hu usay dhyan se read kare aur follow kijiye. How to make a pendrive as ram of computer.

USB Pendrive Ko Computer RAM Tarah Kaise Use Kare

USB Pendrive Ko Computer RAM Kaise Banaye


how to make a pendrive as ram of computer

Method 1:-



  • Sabse pehle apne computer ya laptop ke USB port me pendrive ko insert kare.

  • Aapke computer se pendrive connect karne ke baad uski removal disk aapke computer screen pe dikhegi.

  • Aap us pe mouse se right click karke formate kar de. Ab formate pe click karenge to aapke samne pop up window open hogi aur usme start options dikhega us par click karke pendrive ko pura formate kar de. Aap phir se ek bar check kar le ki pendrive pura formate hua hai ya nahi.

  • Ab aap pendrivewali removal disk pe mouse se right click aur properties par click kare de.

  • Yaha pe aapko ready boost option dikhega uspe click kijiye.

  • Iske baad 'use this my pendrive' pe click kar de. Space to reserve for system speed me aapko koi badlav nahi karna hai.

  • Iske baad apply button pe click karke ok options par click kare.

  • Ab aapka ready boost options start ho jayega, uske baad aap apne pc ya laptop ko reboot kare.

  • Pc start ho jane ke baad aap removel disk me dekhege to aapko ek file dikhegi. Usay delet na kare pendrive me hi rehne de, aur pendrive ko computer ke sath lagaye rakhna hai.


Method 2:-



  1. Aap sabse pehle USB pen drive ko apne computer ke usb port lagaye.

  2. Pen drive lagane ke baad My computer pe apne mouse se right click karke properties options pe click kare.

  3. Properties par click karne ke baad jo option open hoga un options me se aapko wrong side me advance system setting pe click karna hai. Aur uske baad jo option khule usme se aapko advance option par click kar dena hai.

  4. Phir aap isme change option pe click karege to virtual memory open hogi usme 'Automatically manage paging file size' option par click karke usay select kar dijiye.

  5. Uske baad kuch options open honge usme se apne pendrive ko select kar dijiye.

  6. Uske baad custom size me apni pendrive ke capacity ke mutabik mb add kare. Aapki pendrive ki memory hai uske mutabik 50 ya 100 mb kam hi rakhe. Phir set option pe click kare.

  7. Ab aapka USB Pendrive Computer ki RAM ban gaya hai. Jab bhi aap pendrive ko nikalna chahte hai to apne mouse right click karke Eject pe click karke hi nikale.

  8. Aap pendrive koi bhi company ka use kar sakte hai, lekin pendrive 4GB ya 8GB, ya phir usse jyada GB ka hona chahiye.


Important Notice:-


Ab aapne apni USB Pendrive ko Computer RAM bana diya hai. Aapko isme ye dhyan rakhna hai ki ek bar pendrive ko RAM banane ke baad usay Apne computer se connect hi rahne de. Agar aapne pendrive ko computer se direct nikal lenge to wo bekar ho jayegi, matlab ki wo pehle ki tarah work nahi karegi. Agar aap apni pendrive ko PC se nikalna chahte hai to uper diye method 1 ko ulata follow kijiye. Iska matlab hai ki aapne jo pehle step kiye the thik usi tarah changes karke aap apni pendrive ko safe rakh sakte hai.

Also Read :- Computer Ya Laptop Format Kaise Kare Puri Jankari

To Mitro, Is tarah aap badi aasani se apne USB Pendrive Ko Computer RAM bana sakte hai. Humari ye post USB Pendrive Ko Computer RAM Kaise  Banaye - Virtual Memory Kaisi lagi ye comment karke jarur bataye. Is Article se related aapka koi bhi question hai to aap humare commentbox comment karke bata sakte hai. Aapko ye post achha laga hai to ise apne friends ke sath share jarur kare. Is post ko social site pe share karne ke liye article ke niche share button diye gaye uspe click karke aap share kar sakte hai. Aur aesi daily post pane ke liye humari site ko subscribe kare.

 

Post a Comment

2 Comments

  1. Ram ko USB mai lene K bad wah Ram bhi use Kar sakte hi kya.

    ReplyDelete
  2. Hi,

    Very informative post with this useful working step to use Pendrive as a Computer ram...!!

    ReplyDelete