WiFi Speed Kaise Badhaye | WiFi Speed Badhane Ke Tarike

India me slow internet ki bohat problem dekhi jaa rahi hai. Aap jis speed ka bill payment kar rahe hai, utni speed aapko nahi milti hai. Apne ghar,office ya shop ki wifi speed slow ho to bahut pareshani hoti hai aur har koi iska solution dhudhta hai. Agar aapko choti se choti bhi file download karni padti hai toh usme bhi aapko kafi waqt lag jata hai. How to increase wifi speed on android mobile and laptop. Technology development ke sath hum aage badh rahe hai. Pehle india me GPRS internet chal raha tha.

Also Read :- Stock Free Images and Icons Kaise Prapt Kare

Uske baad 2G aaya phir 3G aur 4G aa gaya. Phir bhi india me abhi bhi slow internet ka problem chal raha hai. Chahe hum lakh koshis karle hume jaisi net speed chahiye waisi speed nahi mil rahi. Aaj hum wifi speed ki baat kar rahe hai. Yaha aapko wifi speed badhane ki tricks bata rahe hai. Wifi ka use dino din badhta jaa raha hai. Aese me hume iske upyog karne ke tariko ke baare me jan lena chahiye. Agar aapke system me wifi speed slow ho jaye to usay fast kaise kiya jaye, is liye mai aapko speed badhane ke liye kuch tarike batata hu.

WiFi Speed Kaise Badhaye

WIFI Speed Kaise Badhaye? How To Increase Wifi Speed


how to boost wifi speed

1. Switch Channels:-


Routers kai channel ke jariye broadcast hota hai. Jisme 1 se lekar 11 channel hoti hai. Agar aapko routers signal me problem dikhe to aap channel badalkar dekh sakte hai. Iske liye aapke pas uska software hona chahiye, jo yeh analyze kar sake ki konsa channel empty hai
aur wah aapke system ke liye behtar hai. WiFi Analyser bina secure network ko auto connect karta hai.

2. Look For Interference:-


Wireless Router ko aesi jagah pe set kare jaha pe signal aane me koi problem na ho. Isme security alarm,microwave oven,baby moniters,cordless phone aur Auto garage door openers jaisi jagah se bachkar rahe. Router signal strength me koi problem aati hai to sognal bar ko check kare. Agar phir bhi signal kam lage to thodi der ke liye device ko restart kar sakte hai. Jab tak apne WIFI ki speed signal full na ho jaye.

3. Network Broadcast Mode:-


Network Broadcast Mode karne ke liye aap naya 802.11n standard router ka upyog kar sakte hai. 802.11n router aapko kai offers ke sath mil jayega. Is router ka use karne se aapko kafi range aur strong signal milega.

4. Relocate:-


Kai baar kuch problem aesi hoti hai jisko hum chutki me solve kar sakte hai. Yadi aapke router ki signal slow ho gaye hai to usko aap relocate kar sakte hai. Aesa karne se aapke router signal badh jayenge.

5. Router Ko Sahi Jagah Pe Lagaye:-


WIFI router ko sahi jagah pe lagana bhi bahut jaruri hota hai. Router ko kisi open jagah pe rakhiye, taki signal strong mile.

6. Sahi Tarike Se Wireless Channel Set Kare:-


Agar aapke padoshi bhi wifi use karte hai to ho sakta hai ki aapki aur unki frequency takra rahi ho. Agar aesa hua to aapke wifi ke signal aur speed dono kam ho jayege.

7. WIFI Ki Range Badhaye:-


Agar aap apne wifi ki range ko thoda badhana chahte hai to router antenna ke aas pas Aluemenium ya khali soda cane rakh de. Isse aapke wifi ki speed badh jayegi.

8. Router Se Jode Ek Achha Antenna:-


Kai bar aesa hota hai ki hum ek jagah se dusri jagah par router ko nahi le jaa sakte hai, ya phir speed badhane ke liye jagah change nahi kar sakte. Aise time pe aapko speed badhane ke liye atenna ko koi achhi jagah pe le jana padta hai. Wifi me antenna ko jodna aapki signal strength ko increase karne me helpful sabit hota hai.

Also Read:- Gmail Id ko Hack Hone Se Kaise Bachaye – Janiye Hindi Me

Aaj ki post me maine aapko bataya ki WIFI ki speed kaise badhaye aur iske best tarike ke baare me bhi achhi jankari di. Maine bataye tariko se aap apne wifi ki speed bahut aasani se badha sakte hai. Aap ye sabhi tricks ko follow kare tab aapke WIFI speed boost hogi. Router me wifi speed badhegi to aapke mobile me bhi internet speed increase hogi. Aapko ye post kaisi lagi ye hume comment karke jarur bataye. Is post ke baare me koi question hai to aap hume jarur puch sakte hai. Is post ko social site pe apne friends ke sath jarur share kare.

Post a Comment

1 Comments

  1. I have noticed you don't monetize your website, don't waste your traffic, you can earn extra cash
    every month because you've got high quality content. If you want to
    know how to make extra money, search for: Boorfe's tips best adsense alternative

    ReplyDelete