Blog me Ads Dalke Online Kamane Ke Liye kai Advertiser Website Hai. Ye hame Ads bhi De Deti hai. Lekin Encome Achchhi Nahi Aati . online Advertising Se kamai Ke Liye Google Ka Adsense Sabse Badhiya Way hai. Wo hame Ads Deta hai. ham Ads Blog Website me Lagate Hai, Aur Per Click, Impression Se Adsense Hame Earning Deta hai. Ye Hai Adsense Ki Basic Jankari.
Sabhi Friends Blog Banakar Sabse Pahle ye Sochata hai Ki Kab Milega Adsense Approval ? Aap hard Work Karke Blog banate Hai, Aur Adsense Approval Na mile To ? Ham despair Ho jate hai. Lekin Galti Hamari Hi Hoti hai. Adsense Account Approval Hona Blogger Ke Liye Sabse Impotent Bat Hai. Adsense ke Liye Apply Karne ke Sahi Time Ka Intazar karna Chahiye. Ham Kya Karte hai ? 4 -5 Post Publish kardi, Sosial Media pe Share ki. 2 - 4 Din 500-1000 page View Mil gaye Aur hamne Man Liya Ki hamara blog Chal Gaya. Adsense Approval Mil Jayega. Bahiya Aisa nahi Hota Hai. ye Google Ka Adsense hai. Aapki Site Ke Sabhi Data Ko Research karta hai. Koi bhi Kami Nahi Chhodata Hai. Adsense Ke rules bahut hard Hai. In Sabme Se Nikalne Ke Bad me Approval Milta hai.
Sabse pahle Ek bat janlo Ki Upar maine Jo Saval Kiye hai Us Saval Ke javab kabhi google Adsense ne nahi Diye Hai. ha Adsense Policy me In Bato ka indirectly Jikra Kiya gaya Hai. Isliye Koi Aapko Bataye Ki Itani Post Honi Chahiye, itane Pageview Hone Chahiye To Ye Sirf Ek estimation (Andaj) hai . Are Yaar..!! Maine To Ek Blog Aisa Bhi Dekha Tha Jisame 200 Word Ki Ek Hi Post Thi Aur Wo Bhi Copyright , Bhir Bhi Ise Adsense Approved Mil gaya tha...!!! It will be lucky ...!! Ho gai Hogi galti.... !? Lekin Sabhi Blog Ke Liye ye hona Sambav Nahi Hai.
Mai Aapko Kuchh Impotent Points Bataunga Jo Adsense Approved Ke Liye Sabse Badhiya mana Jayega. Agar Aapne is Points Ko Dyan Me rakhke Work Kiya Hai To Beshak Aapka Adsense Account Approved Ho Jayega.
Point : 1 : Blog Content :
Blog Website me Aap Jo Publish Karte Hai Wo Hi Content kahlata Hai. 80% Blog me Content Dusere Blog se Copy Kiya Hua Hota hai. Ye to mai Aur Aap Sab Jante hai. Adsense Approved na hone Ki Sabase badi Vajah Copy Content hai. Aapki Kisi Ek Post Ki 2 -3 Line Ko Copy karke Google Me Search Kare ... Kitane Result mile ? Aapko pata Lag jayega Ki Hamara Post Content Kitana Copy hai ya Kitana unique Hai.
- Minimum 2000 Se Jyada Characters ( word ) Wali Post Honi Chahiye.
- 10 Se 15+ Post Aapke blog me Honi Chahiye.
- Content Aur Images Dono Copyright nahi Honi Chahiye.
- blog Aur Post Title unique, Popular Word Ka Hona Chahiye.
- Content Me Auto Downloading Hone Wali Link, Copyright Materials Wali Site pe Visitor Ko Bhejne Wali Link - Url Nahi honi Chahiye.
- Logo (visitor) Ke Itrest Ka Usefull Content Hona Jaruri Hai.
- Jyada Jankari Ke Liye Ye padhe :Blog - Website ka Content - Subject Kaisa Hona Chahiye?
Point :2 : bog - Website Traffic
Traffic Yani Blog ke Visitor Aur Page-view. kai New Blogger Visitor Ko pageview Man Lete Hai. Aur Isake Hisab se Adsense Me Apply kar Dete Hai. Natija Ye Hota Hai Ki Dusare Din disapproved Ka Massages Aa Jata Hai. Example : Mere Aaj Ke Abtak Ke Page View 400 hai. Lekin Isake Visitor 82 Hai. matlab Mere Blog Pe 82 Log Aaj Aaye Hai, 1 Visitor ne Andajit 5 Page View Kiye Hai. 400 Ki Sankhya Ko Dekhke Mai Adsense Apply Kar Do to Adsense Approves nahi Hoga.
- Ye Bhi Padhe : Blog Website Ki Traffic Visitor Kaise Chack Kare ?
- Adsense Ke Liye 60% Visitor Search Engine Se Aane Chahiye.
- Per Day traffic 1000 + page View, 300+ Visitor hone Chahiye.
- Kahi Se Kharida hua ( Pay Karke ) traffic Lana Adsense Ko Valid Nahi hai.
- Copy Right File Host karnewali Site Se Traffic Nahi Chalega. Exa : Mp3 Songs, Video, Software etc.
Usefull : Blog Aur Website Ki Traffic Visitor Badhane Ki Tips...
Friends Ye 2 points Adsense Approved ke Liye Sabase Impotent hai.
Agar Ye Aapne Sahi kiya hai To Aapke Blog ka Bounce Rate Achchaa hi Hoga. yani Visitor Aapka Article Padhne ke liye Jyada Vakt Aapke blog Pe rahta Hoga. Traffic Rank Bhi Badhiya ho jayegi.
Point : 3 : Blog Design And Additing
- Blog Website Ka Design, Template, Theme Simple, Asani Se Sabkuchh Visitor Ko Mil Jana Chahiye.
- About Me, Contact, Disclaimer-Privacy Policy, Error Ka Page Add Hona Jaruri Hai.
- Blog Site Ko Google , Bing , Yahoo Search Engine Me Submit Kare. SiteMap Bhi Submit Kare.
- Blog Ke Liye Top Lavel Domain-TLD(.com, .in, .Net. etc.) Ka Istemal Kare.
- TLD Ke Bina Blog ke Liye 6 Month (India Ke Liye )Ke Bad Apply Kare.
0 Comments